Kyu roo rahe ho tum....

Aj ki special conditions pe aj ka ye special condition blog ....
To aj kuch esa hua mere sath jo nhi hona chaiye tha..
Mtlb kuch bura hua jo nhi hona nhi chaiye tha...
To  esi conditions pe me ya ap kuch kr sakte h ...
Is tym mere pas ya apk pas 2 conditions h...
Condition 1
Nhi...
Jb us problem ka koi solution hi nhi to us problem ko soch soch k kyu pareshan hona...
Condition 2
If Yes..
Agar kuch kar sakte ho to us problem ka solution nikalo....
Or jab us problem ka solution h tumhare ps to fr is problem k bare m soch soch k kyu pareshan hona...
Fr to koi problem hi nhi hui...
"Problem tb tak problem hoti h jb tk uska koi solution na ho... Or jab solution h to wo problem nhi hoti... 
Pareshan hone se kisi problem ka solution nhi milega or na wo problem apna ko hone se rok sakti h...
Wo problem bas apki life se kuch acche pal rok rahi h bs...
To kisi bat ko soch k kyu rona...
Kyu ki jo hona h so hona h fir kis bat ka rona h..."

Sacche Dil Se Mang Ke To Dekho...

Kehete h....
"Agar sacche dil se kuch mango to puri kaenath use tum se milane m lag jati h..."
Magar esa bhi hota h...???
Shyd ha magar kisi chez ko pane k liye kuch mehenat karni padhti ...
Kyu ki har chez bethe bithaye nhi milti h...
Or kismat bhi usi ka sath deti h jise use sacche dil se chaaha ho...
Agar  kaenath or kismat k bharose bethe rahe to shyd wo apko kabhi na mil pae or mile bhi to pata nhi kb jb uski apko jarurat hi na ho...
Kyu ki usko pane k liye dil me to sacche dil se dua to ki magar koi mehnat nhi ki to kismat shyd apka sath na de...
Mera ye manna h ki agar ki chez ko pana chaahate ho to sacche dil se use pane ki mehenat karo fr kismat k bharose chordo...
Fr tumhari kismat m wo hoga to mil hi jaega... Or agar nhi bhi mila fr bhi mehenat karna mt chodo...
Shyd tumhari kismat m usse kuch or accha likha ho...
"To sacche dil se kuch chaaho to  usko pane ke liye pehele pure dil se mehenat karo ... Kyu ki kaenath or kismat bhi usi ka sath deti h jise use pane ki sacchi kosis ki ho... "
Vaibhav...

Accha lagta h...

Uske bin chup chup rehna accha lagta h..
khamoshi se ek dard ko sehna accha lagta h..
jis apne ki yaad me aansu baraste h..
samne uske kuch na kehna accha lagta h..
milkar usse bichad na jaye darte rehte h..
isliye bas dur hi rehna accha lagta h..
jee chahe sari khushiya lakar usko de du..
uske pyaar me sab kuch khona accha lagta h..
uska milna na milna kismat ki baat h..
pal pal uski yaad me rona accha lagta h..
uske bina sari duniya begani lagti h ...
pr usko door se hi khus dekhna accha lagta h...
Vaibhav...

Family (Pariwar)...

Family(pariwar) ek esa sabd jo sab kuch sama leta h...
Jivan jine ka sahi salika sikhane wala sabd h pariwar....
Isme choto k liye pyar h...
Mayya ka khana na khane h bad pyar bhari Gussa h...
Bado ka Aadar samman h...
Bhai bheno k sath hone wali full time masti h...
Choto k liye bado ka tyag h...
Pariwar m koi aakela nhi hota Yaha har koi ek dusre ka sathi hota h...
Koi choti si pareshani ho kisi ko to pura pariwar ek mutthi ban k us pareshani ko khatam karta h...
Choti si khusi ko bhi nach ga kr manane wala hota h pariwar...
Khane ki table pe santi se nhi hasi khusi k sath kane wala sabd h pariwar...
Khud khane se pehele choto ko apne hatho se khilana k matlab h pariwar...
Tyoharon pe ek sath ekhahatte hokar us tyoharo ko hasi khusi se nachte gaate ek dusre ko gale lagekar  per chukar kar  manane ka mtlb h pariwar...
Koi ho agar aakela khel ya jang k medan m uski jeet k liye uski raksha k liye dua karne wala hota h pariwar...
"Isiliye pariwar ek sabd nhi h...Ye us bargat k us pedh ki tarha h jo dour dour  tak fela hua h... Or use kat pana mushkil  hi nhi na mumkin h... Or jo iski chaya m aa jae to use bhi ye apna bana leta h..."
Vaibhav...

Ghar ka khana...

Ghar ka khana  chahe kesa bhi ho wo accha hota h ...
Fika ho ya mitha ho ya tikha ho...
Usme ek apne pyar ki feeling hoti h...
Bahar ka khana chahe tasty hota h...
But usme ye feeling nhi aa pati...
To khane ko swad le k khaiye  pyar k sath...
Kyu ki ....
" Pyar se khilaya ek dana jo bhookh mita sakta h wo dikhawe or ghamand  k chhappan bhog bhi pure nhi kar sakte..."
Vaibhav...

Yaad karke to dekho...

Yaad karenge to din se raat ho jayegi,
aaine mein dekhiye khud ko hamase baat ho jayegi,
shikava na kariye hamase milane ka ,
aankhe band kariye to jara humse mulakat ho jaayegi ....

Gussa

Kabhi lafjo se to kabhi aakho se gujarta h...
Jane kyu kabhi kisi or gussa kahi or nikalta h...
Koi pareshani m hota h kabhi koi apna to uski chinta m ...
To choti choti bato m  nikalta h gussa...
Fr us gusse m na chahe ho  jati h kuch galtiya ...
Fr us galtiyo ko sudharna aasan nhi hota...
Isliye galti ko sudarne kosis krta hu...
Isliye jada kuch nhi keheta bs chup rehe kar sab bato ko apne andar daba leta hu...
Vaibhav...

kese ho tum...

Kisi ne pouch liya humse... Kese ho tum... kafi tym se chup ho kahi bolna to nhi bhool gae... Hum jare se muskurae or bole... (Read the capt...