Chulbuli zindagi...

Har koi ye to batata hai zindagi ek kitab hai but koi ye nhi batata ki us kitab k panne pe likha kya hai....
Usk panne rangeen hai ya black and white...
Unpe kuch likha hai ya wo ek kori kitab hai...
Bs mere yahi kuch sawal hai....
Ek nazariye se dekhe to us kitab k har panne pe kuch icchae hai jo us panne din bhar ki kahani k bad kahi dab jati hai...
Ye soch k ki wo fr kabhi karenge....
Or sochte sochte kab kitab ka akhri panna aa jata hai pata bhi nhi chalta or wo icchae bs dabi ki dabi rehe jati hai...
Or kitab hamesha k liye band ho jati hai...
To kya kare....
Pehele to un 4 logo k bare m mt socho jinse m bhi kabhi mila nhi... aagr wo 4 log mile to kuch kahenge... To ek suggestion k tor pe lelo or Sudha lo taki aage 5 6 7 8 mile to wo kuch bol na pae...
To dil m jo aae wo karo jo tumhara dreams hai unhe pura karo...
Like singing, dancing, writing, even barish m bheehna etc etc...
Chupane se kuch nhi hoga bs wo kitab m daba rehe jaega...
Malum hai ise bhi kam hi log padhenge...
Or koi padhega or zindagi m usne apna ek bhi dream pura kia to mujhe to accha lagega hi...
Ye bhi zaruri nhi ki har koi rpy kare even padhe bhi tym nhi kuch logi k pas...
Bs baghe ja rahe hai zindagi ki race m....

Too indirectly way m me ye kehena cha raha hu ki zindagi m ya din m ek pal nikalo apne liye or wo karo jo tumhe pasand hai... Kyuki zindagi ka kuch nhi pata ki aj hai... Or kal subha bhi ho ya na ho...
Magar ye regret to nhi hoga ki khud k liye nhi jiye ya kuch kia nhi...
Career important hai magar zindagi bhi thori chulbuli hai kabhi bhi khel khel k hara jati hai....
#vv



Ek chota sa suggestion...

Hum roz sab bhagwan se kuch na kuch mangte hai..
Ek bat kahu to bhagwan se wo mat mango jo tumhe pasand ho..
Bhagwan se wo mango jo tumhare liye sahi ho..
Or jab sab sahi hoga to koi problem hi nhi hogi..

Agar suggestion sahi laga to batana...
😉
#vv

kese ho tum...

Kisi ne pouch liya humse... Kese ho tum... kafi tym se chup ho kahi bolna to nhi bhool gae... Hum jare se muskurae or bole... (Read the capt...