Words always matter...

Wakt kata hai mene bhi kuch apno sath....
Kabhi unkahe shabdo ko kagaz pe padhi shihayi k sath...
Kabhi us chadar m lapete hue us takhiye k sath...


in pangtiyo m kavi kehena chahate hai ki....
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Pehele pangti m ek vaastukaar (architect) k tor pe hum jab tak naksho ko padhenge nhi tab tak use samaj nhi sakte hai or na hi wo khud hume batane wale hai...
dusri pangti ka matlab hai ki kavi aksar 8+ ghante sota hai...😴😴😴


BAS...


kya socha tha ki kisi shyar ki kahani milegi....
to jada na socha kare....


isse bas itna hi batana tha ki bolne se pehele apne sabdo ko sahi se chune kyuki ap kya bolte hai or kese bolte hai wohi shabd samne wale insan ki vichaaradhaara ko badalte hai...


isiliye shabd hamesha maayane rakhate hain...


signing off
vaibhav

ek kitab sa tha m...

Friend 1: yaar aj kal log kitne ajeeb ho gae hai kisi ko kuch samajte hi nhi ... Friend 2 : kyu ab kya ho gya tere sath... Friend 1: kya bat...