Ooo Yara Dil Hara...(Part 1)

Ye kahani completely hypothetical h iska meri ya kisi or ki zindagi se koi relation nhi h...
Ye kahani h suryash or parthi ki jo ek IIT college, Bombay  m padhne jate h...
Kahani shuru karne se pehele m apko in dono k bare m kuch bata deta hu...
Jaha ek oor suryash ek middle class family ka ladka h... jo Muzaffarnagar , UP se belong karta h or dusre oor parthi ek high class family se belong karti ladki jo South Delhi ki thi...
Suryash  ek esa larka tha jo padh likh kr  kuch bada krna chata  apne mummy or papa ka nam roshan Karna chata tha IIT m bhi uska selection usk marks or scholarship pe hua tha...
Or dusri oor parthi  jo ek ameer pariwar ki thi or ghar m sabki ladli bhi thi to thora sa attitude bhi tha usme but  bohot hi choti choti si khuwahishe thi uski jo wo bachpan se miss karti  or kabhi puri nhi kar pai just because of her family high class and status isi liye wo delhi se bombay padhne aa gai  jaha use koi nhi janta ho or wo bina kisi rok tok k apne dost khud chunsake or wo kr sake jo wo krna chahati h or kuch jo uski bachpan ki  khwahishe h jo apni dairy m likhi chupa k rakhti thi...
Suryash k sath uski cousin sister bhi usk sath padhne ko aai thi  jis ka nam tha "Aarti" jo ki padhai m thodi si weak thi but suryash use samjhta tha or bachpan se khud padh k use  padhata aa raha tha or usi ki wajha se uska bhi IIT college m usk sath hi admission ho gya tha. suryash or aarti dono cousin k sath bohot acche dost bhi the... dono ek dusre se kabhi koi bat nhi chupate the jab bhi koi problem hoti to dono sath mil k us problem ko aakele ho solve kar liya karte the kisi ko ghar m pata hi nhi chalne dete the...
Ab lotte h kahani pe...
Admission k tym aaya ...
Ye teeno baki logo ki tarha admission hall m apna apna form bhar rahe the ... Achanak parthi k pen kharab hogya or dusra usk pas tha nhi or wo aai bhi akeli thi to kisi ko bahar bej k pen bhi nhi manga sakti thi or wo pareshan ho rahi thi or apne bag m bar bar pen dhund rahi thi to achanak se aarti ki najar parthi pe padi  wo usi k pichhe hi thi to aarti ne apne bag m se ek pen nikal k parthi  offer krti h or  parthi use thanks bol k ...
teeno  apna form jaldi jaldi bharte hai ...
Fr ye teeno ek sath form submit krte h or fr end m  admission hall k bahar parthi ne aarti ko pen ko return kia or hath mila k thanks bola... Usi tym suryash bhi waha tha Aarti ko bola...
Aarti- meet my cousin suryash...
Suryash - parthi
Fr suryash unk taraf dekha or halke se apni gardan hila k 'hello' bola...
Suryash k dimag m ek tension thi ki use konsi Branch m admission milega...
Wo chahata tha ki koi acchi se branch miljae or fr wo dil laga k mehenat kare or aage badhe...
Thori der bad parthi ne Suryash ko dekh k parthi ne socha...
"Dikhne m to ye kafi handsome h... Height bhi 5'9"-5'10 hogi but ye itna pareshan  kyu h... Mujhe dekh k delhi m meri purani class k sare   larke  mere pichhe hi padhe rehete the or ye bina hase, hath milae bs sar hila k 'hello' bol dia...And  No more reaction... "
"Ye to wo hi bat ho gai ki... ye kon h jisne pooo ko mudh k nhi dekha...."
But parthi ko kya pata tha ki suryash k dimag m kya uthal puthal chal rahi h...
Fr suryash wahi admission hall k bahar idhar se udhar chakar katta raha... Or bar bar andar admission list k bare m andar poochta raha...
Fr thori der baad notice board pe dekh k suryash bohot khus ho gya  wo jo chahata tha wo  ho gya use wo hi branch mili  jo wo chahta tha 'computer science'
Or bad m pata chala ki aarti ka bhi usi ki class m admission hua h to wo dono double khus ho gae...
But tab tak parthi waha se chali gai thi... 
Fr dono fr bapas apne ghar ko nikal gae...
Kyu ki fr 5 din bad se hi unki classes shuru hone wali thi...
To wo bapas aane k liye apne saman ki packing  karne k liye apne ghar ko nikal gae...


After 2 days...

To be continue........
Please comment your personal views in the blog comment box....
Thankyou...

No comments:

ek kitab sa tha m...

Friend 1: yaar aj kal log kitne ajeeb ho gae hai kisi ko kuch samajte hi nhi ... Friend 2 : kyu ab kya ho gya tere sath... Friend 1: kya bat...