Aligarh Muslim University Tarana (Anthem)

Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu...
Sarshaar-e-nigaah-e-nargis hu , paabasta-e-gesoo-e Sumbul hu...
Ye mera chaman, ye mera chaman,
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hu !
Jo taaq-e-haram mein roshan hai woh shama yahan bhi jalti hai,
Iss dasht ke goshey goshey se ik jooy-e-hayat ubalti hai...
Ye dasht-e-junu deewano ka, ye bazm-e-wafaa parwano ki...
Ye shehr-e-tarab roomano ka, ye khuld-e-baree armaano ki...
Fitrat ne sikhayee hai humko uftaad yaha parwaaz yaha...
Gaaye hai wafaa ke geet yaha , chheda hai junu ka saaz yaha...
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu !
Iss bazm mein teghei khi chi hain, is bazm mein saa ar todey hai...
Iss bazm mein aankh bichhaayee hai, iss bazm mein dil tak jodey hai...
Har sham hai shaam-e-Misr yaha , har shab hai shab-e Shiraz yaha...
Hai saarey jaha ka soz yaha aur saarey jaha ka saaz yaha...
Zarraat ka bosa lene ko sau baar jhuka aakaash yaha...
Khud aa kh se hamne dekhi hai baatil ki shikast-e-faash yaha...
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hu !
Jo abr yaha se utthega, wo sarey jaha par barsega...
Har jooy-e-rawaa par barsega, har koh-e-garaa par barsega...
Har sarw-o-saman par barsega, har dasht-o-daman par barsega...
Khud apne chaman par barsega, gairo ke chaman par barsega...
Har shahr-e-tarab par garjega, har qasr-e-tarab par kadkega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Barsega, barsega, barsega!

No comments:

kese ho tum...

Kisi ne pouch liya humse... Kese ho tum... kafi tym se chup ho kahi bolna to nhi bhool gae... Hum jare se muskurae or bole... (Read the capt...