Light and shadow...

Let's create a world with light and shadow, where nobody will harm and the distance between people will become so narrow...

Yad aata hai wo engine....

Yad aata hai wo engine jiske hum dabbe kehelate the...
Chuk chuk gadi chalti thi...
Or hum dabbe piche se chillate the...
Pakad kr ek dusre ko hum aage badh jate the...
7 Kos ki parikrama ka sar hum 7 chakar m pate the...
Lagta tha ki ek chakar m hum Giriraj ko nap aate the...
Pero m padhe jal se hum yamuna ka ehsaas pate the...
Chakar mar Giriraj k fr sab race lagate the...
Jhuki hui kamar se ek sath sab k per chute jaye the...
Koi chuta to nhi race m isiliye fr chakar lagate the...
Fr jagat ko khila chhappan ka sar fr hum pate the...
Ab jane kaha gya wo engine jivan ki race laga kar...
Apne piche ke debbo ko engine bana kar...
Magar Yad aata hai wo engine jiske hum dabbe kehelate the...

"Miss you Baba..."

Signing off
vaibhav

Soul's are just memories...

When a baby is born it comes with a blank empty mind without any knowledge of the past and future without any knowledge of good and bad and without any knowledge of himself.
Then it grew up with some feelings and enthusiasms by their different experience of occasions happen in their lives may be some time they are good and sometimes they are terrible according. These things create memories that continually increased with the different fazes of life which was seen by him. In the end, the whole life memories rewind in the eye in just one finger snap and the soul leaves the body with uncountable and unforgettable experiences and memories of life...
In this way, we can say that 
"Soul's are just memories of life..."

Signing off
#vaibhav

Intzaar...

Wakt ki lehero se humne bhi kabhi pyar kia...
Ek jagah Beth k hum kisi ka bohot intzar kia...
Aane ka wada kr unhone hume bada bekarar kiya...
Khud ko tarsakar humne khud ki aakho k sath aasuon ka viyapar kiya...
Pata tha nhi aaenge wo fr bhi humne unka intzar kiya...
Fr Jab kahi or chale gae wo...
To din bhar humne kam kiya or rat bhar sapno m fr unka intzar kiya...
Signing off
Vaibhav...

Words always matter...

Wakt kata hai mene bhi kuch apno sath....
Kabhi unkahe shabdo ko kagaz pe padhi shihayi k sath...
Kabhi us chadar m lapete hue us takhiye k sath...


in pangtiyo m kavi kehena chahate hai ki....
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Pehele pangti m ek vaastukaar (architect) k tor pe hum jab tak naksho ko padhenge nhi tab tak use samaj nhi sakte hai or na hi wo khud hume batane wale hai...
dusri pangti ka matlab hai ki kavi aksar 8+ ghante sota hai...😴😴😴


BAS...


kya socha tha ki kisi shyar ki kahani milegi....
to jada na socha kare....


isse bas itna hi batana tha ki bolne se pehele apne sabdo ko sahi se chune kyuki ap kya bolte hai or kese bolte hai wohi shabd samne wale insan ki vichaaradhaara ko badalte hai...


isiliye shabd hamesha maayane rakhate hain...


signing off
vaibhav

Wakt ka takada...






Wo suraj ko dhundha karta tha...
Or rato ko jagah krta tha...
Ab suraj ki dastak se pehle khud ko mazboor kr deta hai...
Or rat ko zindagi ki race k liye khud ko khud se dour kr deta hai...
Vakt ka takada hai kuch esa hai...
Badhe hote hote bachpan ki parchai hi Chen lejata hai...
Ghulami ki zanjeeroo m bandh kr khud ko tanha chor deta hai...

#vaibhav...

100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE...

Hum Indians kuch sune ya na sune but ye line hamesha sunte hai...

"100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE..."

Pata nhi  kya hai is line m...

is line ko India ka title track bana dena chahiya... sach m...

aksar hum indian ye line jarur sunte hai chahe ek choti si galti hui ho ya bohot badha blunder hua ho...

but ye line hi kyu... chahe school m teacher bole ya ghar wale ya koi or...

+

wo school teacher jo ye bolte hai ki 100 bar bhi pouchoge to bhi bataunga or 2 bar batane m bhi ye dialogue chipka dete hai...

usi tarha ghar wale ye dialogue chipka dete hai...

kuch ese log bhi ye dialogue chipkadete hai jo actually m bhi  100 bar mil k 100 bar bat bhi nhi hui ho fr bhi "100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE" bol hi dete hai...

ab kya ek insan ek jesi galti 100 bar kr sakta hai... sochne wali bat hai...

or kya wo galti bhi ho ya na ho ya wo us insan ka prospective ho mtlb nazariya ho ki wo ek galti ho...

kyu ki ek galti 100 bar repeat nhi ho sakti... 

agar galti hai to wo kam usse kara hi kyu rahe ho jab pata hai ki galti hogi...

or agar chahate ho galti na ho to ek bar sahi se samjho pyar se...

wo logo se hota nhi...

wo humse  hoga nhi akhir hum indian hai sunae bina khana pachega nhi...

to 100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE bolne ka koi faeda nhi...

agar bolna hai to ek bar sahi se samjha k bolo...

warna 100 bar chupchap raho...

ya us Kam ko khud kalo...

.

.

.

.

.

.

wese ye 100 se jada or kam bhi ho sakte hai...



signing off 

vaibhav

New Corona Dialogue...

 Tor denge tumhare sharir ka kona kona par hone nhi denge tumhe Corona...

Ye purana ho gya...

Ab kuch naya...

Mhu pe rakhlo mask warna ruk jaegi tumhari saas...

Agar hath per rakhne hai sahi to tumhara ghar pe rehena hi sahi...
Warna aaoge aata lene or jaoge suzi leke...

Hath dhote raho bar bar warna hath dho bethoge zindagi se ek bar...

Hath dhote raho shan se warna hath dho bethoge zindagi se aaram se...

Agar "GO CORONA GO" bolne se Corona chala jata to aj har koi tata birla ya ambani ho jata...

Corona chota hai abhi vote dene nhi ja paega par agar tum bahar gae to wo tumhare ghar jarur aa jaega or fir wo utpat machaega...

 

if you have some more suggestions then please let me know...

signing off

vaibhav

 


HUMAN BOOK CAFE...

Human book cafe...

Nam se hi samaj aa jata hai ki jese har ek kitab m kahani hai wese hi har ek insan m ek kahani hai... that's true har ek insan ek kahani hai bs use padhna padhta hai jo log aksar nhi padhpate... sabhi k face yani cehere pe sab likha hota hai bs use padhna padhta hai... wo log aksar apne andar alag alag tarha ki feelings le k ghumgte hai jisme mostly depression ki feeling hoti hai...ab depression bhi logo k pas alag alag tarha k hote hai jese koi peso ki wahja se depressed hai... koi padhai ki wajha se depressed hai... to koi family problem ki wajha se depressed hai... koi pyar na milne ki wajha see depressed hai... to koi peer pressure ki wajha se depressed hai... to koi job ki wajha se depressed hai... to koi akele pan ki wajha se... list bohot lambi hai khatam hi hogi... but kya ye thk hai ki kisi wajha se ap pani life ko bs us bat ko sochne m bita do jisse ap pareshan ho... 

Sochne ki bat hai kya esa ho sakta hai ki wo parshani hamesha k liye hai... agar hai bhi to usme ap kuch kr sakte hai agar haa to kya wo problem hai jis chez ka solution hai to wo problem kesi or solution nhi hai to sochiye ki kya wo sach m problem hai ya apki soch ne use problem banaya hua hai,...

Just think over it...

Depression m mene logo ko khud m pareshan hote dekha hai... or jab bhi unse poucha ki kya bat hai to pehela unka jabab hota tha kuch nhi sab thk hai... thori der bad fr wohi pouchta kuch bolte kuch nhi or kuch bolte ye problem hai and during this discussion un logo ko mene aksar thora pehele se shant hote hue dekha hai... and it literally works. mana ki hum unki problem ko nhi mesaure kr sakte ki wo problem kitni badhi hai unk liye... but kya pata unki problem ka solution nikalde jisse hume bhi problem na ho or unki bhi problem solve ho jae...

Kyu ki depression ka koi tablet ilaz nhii hai... bs ek chota sa discussion with someone chahe wo koi known ho ya unknown ho ya bus m sath chal raha passenger ho just a small discussion can change someone life...

Coffee or Tea hi kyu....

 Kyu ki in human behavior aksar esa dekha gya hai ki agar ap kisi ko koi garam taral padardh( warm liquid like coffee or tea) dete hai over a disciussion pite time wo apki bato pe jada focus krta hai jisse samne wale ko bhi accha lagta hai ki koi uski bat pe focus kr raha hai...

So just take a cup of tea/coffee over a discussion to listen to A HUMAN BOOK...

signing off 

vaibhav...

ye pagal ho gaya hai...

Humans behaviour me m ek common si cheez notice krta hu jab bhi kisi 2 logo k bich m thori si behes si hoti hai to aksar m ek bat notice krta hu agar wo ek dusre pe hath nhi uthasakte to... 
Ki jo person apna point prove krdeta hai to samne wale k pas jab kuch bolne k liye nhi rehejata to wo use "YE PAGAL HO GAYA HAI" bol k chala jata hai... Or fr jate jate bolta reheta hai jo apne apna point bola hai wo bhi tez aawaz m... 
Jab apk pas apni bat ko rakhne k liye koi proof nhi hai to aawaz badhane se kya ho jaega that's my one thing and ye koi Newton ka 3 law thorei hai jise apko prove Krna hi Krna hai or ap koi Newton...
To mera ek chota sa sawal ye hai ki jab apk pas apni bat ko prove krne k liye kuch nhi hai to  aawaz ko badhane se kya ho jaega apka point to prove nhi ho jaega...
Adalat (High court and supreme court) bhi saboto  ko hi dekh k apna results sunati hai... To ap apna point prove krne k liye kuch proof dikhaiye or apna case jit jaiye or party kariye...

Yu aawaz badhane se or Ye pagal ho gaya hai bolne se point prove nhi hote...
Or jo pagal ban gya bina bat k wo chup hojata hai...
Simple Indian common behaviour...

Signing off
Vaibhav...

Happy Poet Day...

Wo kalam hi chalta raha...
Kagaz pe kuch Khwab likhta raha...
Logo ko wo Kavita lagti rahi...
Or wo Khwabi duniya m sota raha...

Happy Poet day...
📝

Wo bachpan hi sahi tha.....

Wo bachpan hi sahi tha... 
Wooo bachpan hi sahi tha jab kisi bat ka gam nhi tha... 
Na kisi sapne ki limit... 
na kisi bil bharne ki tym limit thi...

 wo bachpan hi sahi tha...

jab kandho pe bs kitabo ka bojh tha...
na khane pine ki limit thi na dawaiya khane ki time limit thi...
jab khud k sapno m kabhi superman to kabhi spiderman hua kate the...
jab bhag dor ki zindagi nhi bas chan ki neend se soya krte the...

wo bachpan hi sahi tha...

Jab ek zid ko pura krne k liye pura ghar sar pe utha liya krte the...
Ab to bs sahi galat ki zid k aage bs "ji ji" bol kar bas sar hila diya krte hai...


Jab har kisi ka sath hota tha...
Hath pakad k har raste bhar ki duri kam kiya karte the...
Ab to bas 2 roti ki talaash m bs kagaz or kalam hi duri ko hi kam kiya karte hai...

Wo bachpan hi sahi tha...

Jab har ek ka kandha hota tha chup karane ko...
Ab to begani ki mehfil dhundte hai kagaz apne aasu chipane ko...

Wo bachpan hi sahi tha...

Jab ji bhar k bhai beheno k sath masti kiya karte the...
Ab to maturity ka thappa laga k emotions ko daba diya jata hai...

Wo bachpan hi sahi tha...

Jab bhukhe hote the to pura ghar khana hatho se khilane k liye piche ghoomta tha...
Ab to khana khaya hai ya nhi ye pouchne walo ka hi pata nhi hai...

Wo bachpan hi sahi tha...

 Jab sab apne hua karte the bhed m khone par zor zor se chill k bola kare the...
Ab to bhed m bhi gero ki tarha raha jiya karte hai khoi kho gaya to use duniya  bhar ki social media pe dhunda karte hai...

Wo bachpan hi sahi tha...

Jab apno ka sath hota tha sote waqt unsab ka sar pe hath hota tha...
Ab apno k liye apno se dur hona hota hai...
Har ek din ka chakar kat kr apno ka sath pane  k liye teez teyohar ka intezar krna hota hai...

Wo bachpan hi sahi tha...

WO BACHPAN HI SAHI THA......

Signing off... 
Vaibhav... 




Hasna aata hai mujhe...

Hasna aata hai mujhe...

Mujse gam ki mujse bat nhi hoti...

Meri bato m mazak hota hai...

Magar meri har bat mazak nhi hoti....

Orrr...

 Jo bat mujse kehni hai sidhe se kehedo...

Kyuki ghuma k mujse bat nhi hoti...

#vaibhav...


kese ho tum...

Kisi ne pouch liya humse... Kese ho tum... kafi tym se chup ho kahi bolna to nhi bhool gae... Hum jare se muskurae or bole... (Read the capt...