Human book cafe...
Nam se hi samaj aa jata hai ki jese har ek kitab m kahani hai wese hi har ek insan m ek kahani hai... that's true har ek insan ek kahani hai bs use padhna padhta hai jo log aksar nhi padhpate... sabhi k face yani cehere pe sab likha hota hai bs use padhna padhta hai... wo log aksar apne andar alag alag tarha ki feelings le k ghumgte hai jisme mostly depression ki feeling hoti hai...ab depression bhi logo k pas alag alag tarha k hote hai jese koi peso ki wahja se depressed hai... koi padhai ki wajha se depressed hai... to koi family problem ki wajha se depressed hai... koi pyar na milne ki wajha see depressed hai... to koi peer pressure ki wajha se depressed hai... to koi job ki wajha se depressed hai... to koi akele pan ki wajha se... list bohot lambi hai khatam hi hogi... but kya ye thk hai ki kisi wajha se ap pani life ko bs us bat ko sochne m bita do jisse ap pareshan ho...
Sochne ki bat hai kya esa ho sakta hai ki wo parshani hamesha k liye hai... agar hai bhi to usme ap kuch kr sakte hai agar haa to kya wo problem hai jis chez ka solution hai to wo problem kesi or solution nhi hai to sochiye ki kya wo sach m problem hai ya apki soch ne use problem banaya hua hai,...
Just think over it...
Depression m mene logo ko khud m pareshan hote dekha hai... or jab bhi unse poucha ki kya bat hai to pehela unka jabab hota tha kuch nhi sab thk hai... thori der bad fr wohi pouchta kuch bolte kuch nhi or kuch bolte ye problem hai and during this discussion un logo ko mene aksar thora pehele se shant hote hue dekha hai... and it literally works. mana ki hum unki problem ko nhi mesaure kr sakte ki wo problem kitni badhi hai unk liye... but kya pata unki problem ka solution nikalde jisse hume bhi problem na ho or unki bhi problem solve ho jae...
Kyu ki depression ka koi tablet ilaz nhii hai... bs ek chota sa discussion with someone chahe wo koi known ho ya unknown ho ya bus m sath chal raha passenger ho just a small discussion can change someone life...
Coffee or Tea hi kyu....
Kyu ki in human behavior aksar esa dekha gya hai ki agar ap kisi ko koi garam taral padardh( warm liquid like coffee or tea) dete hai over a disciussion pite time wo apki bato pe jada focus krta hai jisse samne wale ko bhi accha lagta hai ki koi uski bat pe focus kr raha hai...
So just take a cup of tea/coffee over a discussion to listen to A HUMAN BOOK...
signing off
vaibhav...
No comments:
Post a Comment