Yu to aksar kitabo pe khud ko likh deta hu...
Baaya krni hoti h jo bat usse anjane sabdo m gooth deta hu...
Jese kise paheli m bato ko pirodeta hu...
Anjane me ek khali kagaj pe khud ki ek tasveer se bana deta hu...
Bs Isi tarha kuch bat apne sabdo m daba kr unko unke anzaam tak pohochadeta hu...
Hell Life...
Alag bat h...
Zindagi ka sabse acche kam...
Kisi k zakhamo pe malham lagana ek bat h...
Magar un takleef bhare lamho m uska sath nibhana alag bat h...
Kis ki khusi m uska sath nibhana ek bat h...
Magar pareshani m bhi uska sath nibhana alag bat h...
Kisi ki 1st aane ki Khusi ko manana ek bat h...
Kisi k last aane pe bhi uske try krne ki khusi ko manana alag bat h...
Kisi k chehere pe ek bar smile lana ek bat h...
Or kisi ko Zindagi bhar khus rehena sikhana alag bat h...
Kisi k gamo ko sunna ek bat h...
Un gamo ko bhulaga k use Zindagi zena sikhana alag bat h...
Ye aakhe itni nam kyu h....
Aaksar dil se hamesha bat nikalti h...
Is dharti pe itna gum kyu h...
or ye aakhe itni num kyu h...
Sochne pr majboor hu...
Ki konsi bat h jis se m jan k bhi kuch dour hu...
Din m sab se milta hu...
Pr najane koi h jis se m milne ki chaha m thora sa tarasta hu...
Ye silsila kab tak ka h iski kisi ko ittlaha nhi...
Kisi ko pata chale to batana ki khusiyo se kitna m dour hu...
Fr us duri bhare raste ko mitana bhi h...
Gamo ko aakho aakho se hata k khusiyo ko unpe bithana bhi h...
Koi or mile raste m to use bhi gale lagana bhi h...
Khud ki aakho k sath sath uski aakho se wo pani hatana bhi h...
Khusi...😊
Kabhi tumhe lage ki koi tumhe dekh k has raha h ...
To yar socho ki log tumpe nhi has rahe Tumhare sath has rahe hai...
Kabhi ye mat socho ki log Tumhare bare m kya soch rahe hai...
Soch ki hum khud k bare m kya sochte ho...
Tum khud se kitna khus h...
Apne kamse kitna khus ho...
apni life se kitna khus h...
Or soche hum ese kya kar sakte h jo oro k face pe smile le k aae...
Kyuki Zindagi ka kuch pata hi nhi ...
Aj zindagi hai kal ka kuch pata nhi...
Kya pata kal ho na ho...
To khus raho ... Khushi se jio or oro ko jine do...
Kya pata kal ho na ho...
Comment your personal views in my blog comment box... Follow me for more such intresting contents...
Thankyou...
Relationship (Part 2)...
Kabhi kabhi kuch logo saath hote bhi h...
But saath ho kar k bhi sath nhi lagte...
But kabhi kuch log kabhi saath nhi hote h...
Din mahine saal beet jate h bina mile...
But Saath na hote hue bhi saath lagte h...
Relationship...
Chalo ek bat or batata hu...
Koi bhi relationship permanent nhi hoti... Even andhere m bhi parchai ka bhi sath choot jata h...
Or koi bhi relationship tym waste nhi hoti...
Har ek relationship se kuch na kuch sikhne ko jarur milta h...
Or har relationship se ek bat or sikhne ko jarur milti h... Agar usse wo nhi milta jo tum chate ho to ek sabak jarur sikha deti h ki tum life m kya nhi chahate ho...
Karm kr fal ki chinta mt kr...
Kya pata kabhi apko kabhi kisi ki jarurat ho to koi madat na kare...
Or insaniyat sabse sabse badi chez hoti h...
Kapre gande hue to kya hua wo to dhul bhi jaenge ...Or kharab bhi ho gae to market m kami nhi h ....
But kisi ki madat karne se apk dil ko sukun milega...
kisi ki madat ki...
Usse tumhe kya milega ye mt socho...
Shrimad Bhagwat Geeta m bhi likha h ...
Karm kar fal ki chinta mt kr...
(Do your duty without thinking about results...)"
Ooo Yara Dil Hara... (Part 2)
After 2 days...
Jaha log rehete sath h...
Khate bhi sath h...
Magar sath ho kar k bhi sath nhi h...
Nakli hasi has has k thk chuki thi wo...
Usk sath wo fr college k liye nikal gai...
College khulne m bs 1 din bacha tha ab aarav ne parthi ka allotment kara k usk sath aas pas ki jagha ghuma ...
Kya kare bhai h bhen koi pareshani na ho is bat ki tasalli to karni hi padhti h...
College khule to aarti ne notice kia wo larki jine usk sath form submit kia tha wo nhi dikh rahi thi...
Suryash apni padhai m magan front seat pe betha teacher ki lecture ko note kare jara tha ... Period change hue...
To joint classes k bacche bhi change hue...
To achanak ne aarti ko parthi dikhi... Oor usne use apne sath wali seat offer ki...
Parthi bhi waha aa k usk sath beth gai...
Baato baato m pata chala k uska admission CS m nhi hua balki IT m hua h... Dono ki class wese to alag alag hoti thi but mostly classes thi jo sath hoti thi...
Aarti : bhai canteen chale...
Suryash : tum chali jao m library ja rha hu . Books issue karane...
Aarti: parthi tumhara kya plan h...
Parthi: abhi to kuch khas nhi...
Aarti: to chalo canteen chalte h kuch kha k aate h...
Parthi: ok...
Tumne apne bare m kuch nhi bataya...
Or tum kaha ruki ho...
M bhi hostel m hi hu...A-17 m hu...
Hum dono k mostly subjects same h...
To sath m padh bhi liya ka karenge...
Or assignment wagerah m bhi aasani ho jaya kara karegi...
Dono ne piche mudh k dekha...
Wo suryash tha...
Ab kya karoge... Abhi 45 min h...
Suryash meat parthi...
Or Suryash ye h parthi h IT m admission lia h hamare sath hi form bhara tha isne mere piche hi bethi thi ye... Yad h tumhe...
Kya karenge ye...
time change everything...
wo har tym paristithi k according change hota h..
or apne ap ko change krta h...
jaruri nhi h ki abhi kuch bole or usi pe hamesha tika rahe...
tym k sath use us bat ko bhi change krna padhta h...
tym k sath use paristithi k according change hona hi padhta h...
jese koi rule ho jo tym k according jab uska use nhi hota h or to kuch changes karne padhte h conditions k according ...
wrna wo rule hamesha k liye khata kr diya jata h...
Boring lecture....
Or college bhi khulne wale the so usi pe ye ek funny sa blog...
Jab classes chalti h to students k man m kya kya khayal aate h wo kuch is tarha h ki....
Jab classes ho jae boring or teacher usse bhi jada boring to neend bhi aati h or aankhe bhi khuli rakhni padhti h..,😴😴😕
To Ye lecture class kisi torture class se kam nhi lagti...
Or bate bhi teacher ki kisi lori se kam nhi lagti...
Jitna inke lecture se hume neend aati h utni hi us 5 minute k break m hume chai or coffee pini padh jati h or ese hi aage ki class ho pati h...
Ab esa lagta h ki ye chai or coffee nhi h piyare ye to ek dawai ya fir h ek kadha h jisne aage k lecture k liye hume thoda sa sambhala h...
Ab in teachero ko bhi koi kese samjae inki boring lecture ki sabji m thora hasi majak ka choka to lagae jada nhi to lecture k bech m thora 2 min break dekar thora sa namak hi dal jae...😂😂😂
Vaibhav...
Please comment your personal views about the blog in the blog comment box....
Imandari
Jo tumhe galat lag raha h use mt karo...
Kyu ki imandari kisi or se nhi khud se kari jati h...
Or ye har us cheez m honi chahiye jise ap apne dil se krte ho...
Kyuki ye kisi ki mohtaz nhi hoti...
Pese to ap beshak beimani se bhi se kama loge ..
Magar izaat khud k liye apni aankhon m tabhi dekh paoge jab wo pese imandari se kama kr apne ghar leki jaoge...
Ooo Yara Dil Hara...(Part 1)
Kahani shuru karne se pehele m apko in dono k bare m kuch bata deta hu...
Jaha ek oor suryash ek middle class family ka ladka h... jo Muzaffarnagar , UP se belong karta h or dusre oor parthi ek high class family se belong karti ladki jo South Delhi ki thi...
Suryash ek esa larka tha jo padh likh kr kuch bada krna chata apne mummy or papa ka nam roshan Karna chata tha IIT m bhi uska selection usk marks or scholarship pe hua tha...
Or dusri oor parthi jo ek ameer pariwar ki thi or ghar m sabki ladli bhi thi to thora sa attitude bhi tha usme but bohot hi choti choti si khuwahishe thi uski jo wo bachpan se miss karti or kabhi puri nhi kar pai just because of her family high class and status isi liye wo delhi se bombay padhne aa gai jaha use koi nhi janta ho or wo bina kisi rok tok k apne dost khud chunsake or wo kr sake jo wo krna chahati h or kuch jo uski bachpan ki khwahishe h jo apni dairy m likhi chupa k rakhti thi...
Suryash k sath uski cousin sister bhi usk sath padhne ko aai thi jis ka nam tha "Aarti" jo ki padhai m thodi si weak thi but suryash use samjhta tha or bachpan se khud padh k use padhata aa raha tha or usi ki wajha se uska bhi IIT college m usk sath hi admission ho gya tha. suryash or aarti dono cousin k sath bohot acche dost bhi the... dono ek dusre se kabhi koi bat nhi chupate the jab bhi koi problem hoti to dono sath mil k us problem ko aakele ho solve kar liya karte the kisi ko ghar m pata hi nhi chalne dete the...
Ab lotte h kahani pe...
Admission k tym aaya ...
Ye teeno baki logo ki tarha admission hall m apna apna form bhar rahe the ... Achanak parthi k pen kharab hogya or dusra usk pas tha nhi or wo aai bhi akeli thi to kisi ko bahar bej k pen bhi nhi manga sakti thi or wo pareshan ho rahi thi or apne bag m bar bar pen dhund rahi thi to achanak se aarti ki najar parthi pe padi wo usi k pichhe hi thi to aarti ne apne bag m se ek pen nikal k parthi offer krti h or parthi use thanks bol k ...
teeno apna form jaldi jaldi bharte hai ...
Fr ye teeno ek sath form submit krte h or fr end m admission hall k bahar parthi ne aarti ko pen ko return kia or hath mila k thanks bola... Usi tym suryash bhi waha tha Aarti ko bola...
Aarti- meet my cousin suryash...
Suryash - parthi
Fr suryash unk taraf dekha or halke se apni gardan hila k 'hello' bola...
Suryash k dimag m ek tension thi ki use konsi Branch m admission milega...
Wo chahata tha ki koi acchi se branch miljae or fr wo dil laga k mehenat kare or aage badhe...
Thori der bad parthi ne Suryash ko dekh k parthi ne socha...
"Dikhne m to ye kafi handsome h... Height bhi 5'9"-5'10 hogi but ye itna pareshan kyu h... Mujhe dekh k delhi m meri purani class k sare larke mere pichhe hi padhe rehete the or ye bina hase, hath milae bs sar hila k 'hello' bol dia...And No more reaction... "
"Ye to wo hi bat ho gai ki... ye kon h jisne pooo ko mudh k nhi dekha...."
But parthi ko kya pata tha ki suryash k dimag m kya uthal puthal chal rahi h...
Fr suryash wahi admission hall k bahar idhar se udhar chakar katta raha... Or bar bar andar admission list k bare m andar poochta raha...
Fr thori der baad notice board pe dekh k suryash bohot khus ho gya wo jo chahata tha wo ho gya use wo hi branch mili jo wo chahta tha 'computer science'
Or bad m pata chala ki aarti ka bhi usi ki class m admission hua h to wo dono double khus ho gae...
But tab tak parthi waha se chali gai thi...
Fr dono fr bapas apne ghar ko nikal gae...
Kyu ki fr 5 din bad se hi unki classes shuru hone wali thi...
To wo bapas aane k liye apne saman ki packing karne k liye apne ghar ko nikal gae...
The sun will rise again...
Kehe h ki subha k bhula agar ghar bapas aa jae to use bhula nhi kehete...
To kya wo fir se ghar se nikalna band kr de...
Mere khayal se nhi kyu ki insaan galtiyo ka putla h...
Galti kar kar k hi sikhta h...
Fir chahe wo uski aadate ho ya koi invention...
Ki insaan ko chahe kuch ho jae kabhi har nhi manni chaiye chahe koi kuch bhi kahe...
"Kya kahenge log..."
Or is rog k sath mt jio ...
Agar koi koi galti ho jati h to usse kuch sikho...
Or try karte raho...
Try krna mt chodo...
Kyu ki tum Kabhi na kabhi tum apni manjile ko pa hi loge...
Or is spirit k sath jio ki...
kese ho tum...
Kisi ne pouch liya humse... Kese ho tum... kafi tym se chup ho kahi bolna to nhi bhool gae... Hum jare se muskurae or bole... (Read the capt...
-
Ye story kuch tym pehle ki h ... Or college bhi khulne wale the so usi pe ye ek funny sa blog... Jab classes chalti h to students k...
-
TO READ THE FIRST PART LINK IS GIVEN BELOW... Ooo Yara Dil Hara...(Part 1) Now start second part After 2 days... Suryash or aa...