My Life (explore , expand and express the inner voice)...
kese ho tum...
Tumse kuch bat krni hai…
Hey…
Tumse kuch bat krni hai…
Tum betho sath mere, tumse ek bat krni hai…
aadhuri hai jo sath coffee ki khuwaish wo puri krni hai…
Tum betho sath mere, tums ek mulakat krni hai…
aakho se to bat bohot hui, ab dil k lafzo m shruwaat krni hai…
Tum betho sath mere, khud ki tumse ek mulakat karani hai…
bohot hua chupna chupana, ab hatho ki dooriyo ko ek krne ki tumse gujarish krni
hai…
Tum betho sath mere, tumhare sath kuch future ki planning
krni hai…
gharo ki planning to bohot hui, ab tumhare sath ghar basane ki planning krni
hai…
Tum betho sath mere, tumse kuch bat krni hai…
raat baki hai...
kash kuch or wakt hota...
kadam
Problem/conditions...
Yaariyan 2 in short...
Bekar aankhe...
kaagaz or kalam...
kalam
Mara Mari...
Kash mumkin hota...
Kash mumkin hota mang pata us waqt se kuch apne liye waqt...,
jo har waqt hatho ki lakiron se fisalta ja raha hai...
#tej...
Nasha...
Relation-ship...
Yaado ki khusboo...
Life is a show...
Wakt (Part 1)
Meditate For Good Dreams...
Present...
Happiness...
Light and shadow...
Yad aata hai wo engine....
Soul's are just memories...
Intzaar...
Words always matter...
.
dusri pangti ka matlab hai ki kavi aksar 8+ ghante sota hai...😴😴😴
vaibhav
Wakt ka takada...
100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE...
Hum Indians kuch sune ya na sune but ye line hamesha sunte hai...
"100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE..."
Pata nhi kya hai is line m...
is line ko India ka title track bana dena chahiya... sach m...
aksar hum indian ye line jarur sunte hai chahe ek choti si galti hui ho ya bohot badha blunder hua ho...
but ye line hi kyu... chahe school m teacher bole ya ghar wale ya koi or...
+
wo school teacher jo ye bolte hai ki 100 bar bhi pouchoge to bhi bataunga or 2 bar batane m bhi ye dialogue chipka dete hai...
usi tarha ghar wale ye dialogue chipka dete hai...
kuch ese log bhi ye dialogue chipkadete hai jo actually m bhi 100 bar mil k 100 bar bat bhi nhi hui ho fr bhi "100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE" bol hi dete hai...
ab kya ek insan ek jesi galti 100 bar kr sakta hai... sochne wali bat hai...
or kya wo galti bhi ho ya na ho ya wo us insan ka prospective ho mtlb nazariya ho ki wo ek galti ho...
kyu ki ek galti 100 bar repeat nhi ho sakti...
agar galti hai to wo kam usse kara hi kyu rahe ho jab pata hai ki galti hogi...
or agar chahate ho galti na ho to ek bar sahi se samjho pyar se...
wo logo se hota nhi...
wo humse hoga nhi akhir hum indian hai sunae bina khana pachega nhi...
to 100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE bolne ka koi faeda nhi...
agar bolna hai to ek bar sahi se samjha k bolo...
warna 100 bar chupchap raho...
ya us Kam ko khud kalo...
.
.
.
.
.
.
wese ye 100 se jada or kam bhi ho sakte hai...
signing off
vaibhav
New Corona Dialogue...
Tor denge tumhare sharir ka
kona kona par hone nhi denge tumhe Corona...
Ye purana ho gya...
Ab kuch naya...
Mhu pe rakhlo mask warna ruk
jaegi tumhari saas...
Agar hath per rakhne hai sahi
to tumhara ghar pe rehena hi sahi...
Warna aaoge aata lene or jaoge suzi leke...
Hath dhote raho bar bar warna
hath dho bethoge zindagi se ek bar...
Hath dhote raho shan se warna
hath dho bethoge zindagi se aaram se...
Agar "GO CORONA GO"
bolne se Corona chala jata to aj har koi tata birla ya ambani ho jata...
Corona chota hai abhi vote dene
nhi ja paega par agar tum bahar gae to wo tumhare ghar jarur aa jaega or fir wo
utpat machaega...
if you have some more
suggestions then please let me know...
signing off
vaibhav
HUMAN BOOK CAFE...
Human book cafe...
Nam se hi samaj aa jata hai ki jese har ek kitab m kahani hai wese hi har ek insan m ek kahani hai... that's true har ek insan ek kahani hai bs use padhna padhta hai jo log aksar nhi padhpate... sabhi k face yani cehere pe sab likha hota hai bs use padhna padhta hai... wo log aksar apne andar alag alag tarha ki feelings le k ghumgte hai jisme mostly depression ki feeling hoti hai...ab depression bhi logo k pas alag alag tarha k hote hai jese koi peso ki wahja se depressed hai... koi padhai ki wajha se depressed hai... to koi family problem ki wajha se depressed hai... koi pyar na milne ki wajha see depressed hai... to koi peer pressure ki wajha se depressed hai... to koi job ki wajha se depressed hai... to koi akele pan ki wajha se... list bohot lambi hai khatam hi hogi... but kya ye thk hai ki kisi wajha se ap pani life ko bs us bat ko sochne m bita do jisse ap pareshan ho...
Sochne ki bat hai kya esa ho sakta hai ki wo parshani hamesha k liye hai... agar hai bhi to usme ap kuch kr sakte hai agar haa to kya wo problem hai jis chez ka solution hai to wo problem kesi or solution nhi hai to sochiye ki kya wo sach m problem hai ya apki soch ne use problem banaya hua hai,...
Just think over it...
Depression m mene logo ko khud m pareshan hote dekha hai... or jab bhi unse poucha ki kya bat hai to pehela unka jabab hota tha kuch nhi sab thk hai... thori der bad fr wohi pouchta kuch bolte kuch nhi or kuch bolte ye problem hai and during this discussion un logo ko mene aksar thora pehele se shant hote hue dekha hai... and it literally works. mana ki hum unki problem ko nhi mesaure kr sakte ki wo problem kitni badhi hai unk liye... but kya pata unki problem ka solution nikalde jisse hume bhi problem na ho or unki bhi problem solve ho jae...
Kyu ki depression ka koi tablet ilaz nhii hai... bs ek chota sa discussion with someone chahe wo koi known ho ya unknown ho ya bus m sath chal raha passenger ho just a small discussion can change someone life...
Coffee or Tea hi kyu....
Kyu ki in human behavior aksar esa dekha gya hai ki agar ap kisi ko koi garam taral padardh( warm liquid like coffee or tea) dete hai over a disciussion pite time wo apki bato pe jada focus krta hai jisse samne wale ko bhi accha lagta hai ki koi uski bat pe focus kr raha hai...
So just take a cup of tea/coffee over a discussion to listen to A HUMAN BOOK...
signing off
vaibhav...
ye pagal ho gaya hai...
Happy Poet Day...
Wo bachpan hi sahi tha.....
jab khud k sapno m kabhi superman to kabhi spiderman hua kate the...
Hasna aata hai mujhe...
Hasna aata hai mujhe...
Mujse gam ki mujse bat nhi hoti...
Meri bato m mazak hota hai...
Magar meri har bat mazak nhi hoti....
Orrr...
Jo bat mujse kehni hai sidhe se kehedo...
Kyuki ghuma k mujse bat nhi hoti...
#vaibhav...
Present is a Gift
Larke rote nhi...
Golam gol hai...
zubaan ka chakar...
Pandemic Rakhi...
Chulbuli zindagi...
Ek chota sa suggestion...
yu hi yad nhi aati...
yad kab aaegi...
yad kab aaegi...
you can learn anything...
Zindagi ka kissa...
Shabd pe shabd bhadata chala...
Shabd pe shabd bhadata chala...
M Zindagi ka har kissa kagazo m likhkar dabata chala...
Aligarh Muslim University Tarana (Anthem)
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu...
Sarshaar-e-nigaah-e-nargis hu , paabasta-e-gesoo-e Sumbul hu...
Ye mera chaman, ye mera chaman,
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hu !
Jo taaq-e-haram mein roshan hai woh shama yahan bhi jalti hai,
Iss dasht ke goshey goshey se ik jooy-e-hayat ubalti hai...
Ye dasht-e-junu deewano ka, ye bazm-e-wafaa parwano ki...
Ye shehr-e-tarab roomano ka, ye khuld-e-baree armaano ki...
Fitrat ne sikhayee hai humko uftaad yaha parwaaz yaha...
Gaaye hai wafaa ke geet yaha , chheda hai junu ka saaz yaha...
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu !
Iss bazm mein teghei khi chi hain, is bazm mein saa ar todey hai...
Iss bazm mein aankh bichhaayee hai, iss bazm mein dil tak jodey hai...
Har sham hai shaam-e-Misr yaha , har shab hai shab-e Shiraz yaha...
Hai saarey jaha ka soz yaha aur saarey jaha ka saaz yaha...
Zarraat ka bosa lene ko sau baar jhuka aakaash yaha...
Khud aa kh se hamne dekhi hai baatil ki shikast-e-faash yaha...
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hu !
Jo abr yaha se utthega, wo sarey jaha par barsega...
Har jooy-e-rawaa par barsega, har koh-e-garaa par barsega...
Har sarw-o-saman par barsega, har dasht-o-daman par barsega...
Khud apne chaman par barsega, gairo ke chaman par barsega...
Har shahr-e-tarab par garjega, har qasr-e-tarab par kadkega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Barsega, barsega, barsega!
Do wakt ki roti ki kimat...
Do wakt ki roti k khatir kya se kya kr bethta hai insan apno ka sath chor bethta hai so wakt ki roti k liye....
kese ho tum...
Kisi ne pouch liya humse... Kese ho tum... kafi tym se chup ho kahi bolna to nhi bhool gae... Hum jare se muskurae or bole... (Read the capt...
-
Ye story kuch tym pehle ki h ... Or college bhi khulne wale the so usi pe ye ek funny sa blog... Jab classes chalti h to students k...
-
TO READ THE FIRST PART LINK IS GIVEN BELOW... Ooo Yara Dil Hara...(Part 1) Now start second part After 2 days... Suryash or aa...