Golam gol hai...

Shabdo k bol m do (2) bate kuch to gol hai... 
Samaj na pae bate par lagta kuch na kuch jholam jhol hai....
Kuch bate jo samaj m aai wo to hume kabool hai... 
Kuch bato m bate banae usme kuch jholam jhol hai... 
Duniya bhi to gol hai magar wo to badi anmol hai...
Duniya m bhi bohotttt
Golam gol hai... 
Par bate kuch badi anmol hai... 
Golam gol k chakar m duniya m bhi bade jholam jhol hai... 
Pr bate badi anmol hai... 
😂😂😂😂😂

zubaan ka chakar...

Kuch bate kritrim roshni (artificial light) ki wajah se chip gai... Zubaan pe thi magar kahi pe aa k atak gai... Kehte hai dil ki har ek bat wo upr waha sunta hai... Hum to insaan hai humse to bohot kuch nhi hota hai... Har kam ko kal pe chor dete  hai jo kal kabhi nhi aata hai.... Fr wo kal ki roshni m aake har rat ko kahi chip jata hai... Fr wahi kal pe hi zubaan pe atak jata hai hai... Or ese hi zubaan ka chakar hai... bs kal  pr aa kar chalta jata hai... 

Pandemic Rakhi...

Ek bar firse ye kalam uthi hai...
Man ki bat kagaj pe aa giri hai...
Yu to rakhi to bhai beheno ka tyohar hai magar is Corona ne krdia hume lachar hai...
2 gaj ki duri ka rakhna hume khayal hai...
Isi duri k chalte is bar rakhi ka bura hal hai...
Rakhiya to aai hongi sabhi ki magar bs bandne wali intzar hai...
Bin unke ye rakhi badi suni si jaegi...
2 gaj ki duri k chalte hume unki yad bohot aaegi...
Rakhi ek dhaga nhi bhai beheno ka wo pyar hai...
Jo saal bhar ki ladhai k bad dikhta ek bar hai...
Is rakhi sab ki yad bohot aaegi kyu ki tike k sath nak khichai wo gift or mithai ki ladhai nhi ho paegi...
Carona ne ye pura saal hamara kharab kr dala...
Kabhi socha na tha is tyohar ka bhi wo hal krdala....
Bs ye chahunga ki is bar kisi ki kalai suni na jae...
2 gaj ki duri hi sahi bs behen ki rakhi bhai tak pohoch jae...
Lagta hai dua hai sab ki beet jae ye saal agla saal bs esa na ho...
Na apno se duri rahe na fr koi tyohar eas ho...

Chaliye ab khatam krna chahuna m apni ye bat... 
Kyu ki ab aa rahi hai mujhe meri sabhi beheno ki yad...
 Happy Raksha Bandhan...🙂
#VV

Chulbuli zindagi...

Har koi ye to batata hai zindagi ek kitab hai but koi ye nhi batata ki us kitab k panne pe likha kya hai....
Usk panne rangeen hai ya black and white...
Unpe kuch likha hai ya wo ek kori kitab hai...
Bs mere yahi kuch sawal hai....
Ek nazariye se dekhe to us kitab k har panne pe kuch icchae hai jo us panne din bhar ki kahani k bad kahi dab jati hai...
Ye soch k ki wo fr kabhi karenge....
Or sochte sochte kab kitab ka akhri panna aa jata hai pata bhi nhi chalta or wo icchae bs dabi ki dabi rehe jati hai...
Or kitab hamesha k liye band ho jati hai...
To kya kare....
Pehele to un 4 logo k bare m mt socho jinse m bhi kabhi mila nhi... aagr wo 4 log mile to kuch kahenge... To ek suggestion k tor pe lelo or Sudha lo taki aage 5 6 7 8 mile to wo kuch bol na pae...
To dil m jo aae wo karo jo tumhara dreams hai unhe pura karo...
Like singing, dancing, writing, even barish m bheehna etc etc...
Chupane se kuch nhi hoga bs wo kitab m daba rehe jaega...
Malum hai ise bhi kam hi log padhenge...
Or koi padhega or zindagi m usne apna ek bhi dream pura kia to mujhe to accha lagega hi...
Ye bhi zaruri nhi ki har koi rpy kare even padhe bhi tym nhi kuch logi k pas...
Bs baghe ja rahe hai zindagi ki race m....

Too indirectly way m me ye kehena cha raha hu ki zindagi m ya din m ek pal nikalo apne liye or wo karo jo tumhe pasand hai... Kyuki zindagi ka kuch nhi pata ki aj hai... Or kal subha bhi ho ya na ho...
Magar ye regret to nhi hoga ki khud k liye nhi jiye ya kuch kia nhi...
Career important hai magar zindagi bhi thori chulbuli hai kabhi bhi khel khel k hara jati hai....
#vv



Ek chota sa suggestion...

Hum roz sab bhagwan se kuch na kuch mangte hai..
Ek bat kahu to bhagwan se wo mat mango jo tumhe pasand ho..
Bhagwan se wo mango jo tumhare liye sahi ho..
Or jab sab sahi hoga to koi problem hi nhi hogi..

Agar suggestion sahi laga to batana...
😉
#vv

jitoge nhi...

Kisi chez ko pane k liye jab tak khud se nhi ladhoge tab tak jitoge nhi...

 #vv

yu hi yad nhi aati...

Kuch bate batai nhi jati...
Har bat samjhai nhi jati...
Kuch to chemical locha hoga...
Wrna yu hi kisi yad nhi aati...

# tez

yad kab aaegi...

Jab  kisi se bat karoge to uski tumhe yad aaegi...
Jab kisi se bat karoge to uski tumhe yad aaegi...
Jab kisi se bat hi nhi karoge to na tumhe kisi ki yad aaegi or na kisi ko tumhari yad aaegi...

yad kab aaegi...

Jab  kisi se bat karoge to uski tumhe yad aaegi...
Jab kisi se bat karoge to uski tumhe yad aaegi...
Jab kisi se bat hi nhi karoge to na tumhe kisi ki yad aaegi or na kisi ko tumhari yad aaegi...

you can learn anything...

if you want a learn something go for it with its base and try to make changes in that and recreate those things then you can move to upper levels to learn those thing because you know its basics completely after that no one can beat you because you know basic tactics. To learn those things i think only 20 - 24 hrs are enough to learn. if  you learnt it by conserntration. So i think only few days are enough to learnt anything...

Thanks...

Zindagi ka kissa...

Shabd pe shabd bhadata chala...
Shabd pe shabd bhadata chala...
M Zindagi ka har kissa kagazo m likhkar dabata chala...

Aligarh Muslim University Tarana (Anthem)

Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu...
Sarshaar-e-nigaah-e-nargis hu , paabasta-e-gesoo-e Sumbul hu...
Ye mera chaman, ye mera chaman,
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hu !
Jo taaq-e-haram mein roshan hai woh shama yahan bhi jalti hai,
Iss dasht ke goshey goshey se ik jooy-e-hayat ubalti hai...
Ye dasht-e-junu deewano ka, ye bazm-e-wafaa parwano ki...
Ye shehr-e-tarab roomano ka, ye khuld-e-baree armaano ki...
Fitrat ne sikhayee hai humko uftaad yaha parwaaz yaha...
Gaaye hai wafaa ke geet yaha , chheda hai junu ka saaz yaha...
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu !
Iss bazm mein teghei khi chi hain, is bazm mein saa ar todey hai...
Iss bazm mein aankh bichhaayee hai, iss bazm mein dil tak jodey hai...
Har sham hai shaam-e-Misr yaha , har shab hai shab-e Shiraz yaha...
Hai saarey jaha ka soz yaha aur saarey jaha ka saaz yaha...
Zarraat ka bosa lene ko sau baar jhuka aakaash yaha...
Khud aa kh se hamne dekhi hai baatil ki shikast-e-faash yaha...
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hu !
Jo abr yaha se utthega, wo sarey jaha par barsega...
Har jooy-e-rawaa par barsega, har koh-e-garaa par barsega...
Har sarw-o-saman par barsega, har dasht-o-daman par barsega...
Khud apne chaman par barsega, gairo ke chaman par barsega...
Har shahr-e-tarab par garjega, har qasr-e-tarab par kadkega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Barsega, barsega, barsega!

Do wakt ki roti ki kimat...

Do wakt ki roti k khatir kya se kya kr bethta hai insan apno ka sath chor bethta hai so wakt ki roti k liye....

Bato k bol...

Kabhi kagaz pe utar dia...
Kabhi mala m saza dia...
Sabd bhi moti ki mala hai...
Kisi ne gale me saza dia...
Kisi ne aag m jala dia...
#tej

Ek lifafa...

Aksar kagaz ko tasveer bana deta hu..
Aksar kagaz ko tasveer bana deta hu.....
Dil m aate hai jo khuwab unhe kagaz pe utar deta hu...
Mez pe rakha hai lifafa tere nam ka...
Mez pe rakha hai lifafa tere nam ka...
Najane in khuwabo ko likhne m ek umr si lag gai...
#tej

Kabhi socha hai fr...

Kabhi socha hai...
Chori usi chez ki kyu hoti hai jo samne ho for ex in museum.. chahe use kitni bhi safety m rakha ho  tab bhi wo chez chori ho jati hai...
For ex film- dhoom
To jab logo k samne aaega ya unhe usk bare m pata hoga to saman chori hone k chances 50-50 se badh jate hi hai...
To agar kuch bachana hai to kisi k samne aane hi mt do...
Or Kisi ko batao hi mat...
Simple...

Naya kal...

Hum roz kal k bare m sochte hai ki kal kesa hoga...
Kya hoga ki nhi hoga...
Kal ye hoga kal wo hoga...
Kal ye karenge kal wo karenge...
But kal kisne dekha hai...
Kal kya hoga kise pata hai...
Jo hona hai wo hoke rahega...
Koi us aane wale kal ko aane se nhi rok sakta...
Or jo kal hoga use koi nhi badal sakta...
To us kal k bare m soch k kya faeda jo kal hona hai...
Agar use rok sakte ho ya badal sakte ho to bhi kis bat ki tension hai...
Jo kal aana hai uske bare m soch soch k apne aj ko kyi kharab krna kal jo hoga use kal dekhna usk bare m soch soch k apne aj ko kyu kharab krna...
To kal k bare m sochna choro or apne aj ko apne tarike se jio...
Jese tum jina hai wese jio koi  roke bhi to kya hua aj roka but kal to tumhara hai...
👍
#tej

Wakt wakt ki baate...

Kam wo mt karo ki tumhe kisi or k liye khadha hona padhe kam wo karo ki log tumhara khadhe hokar tumhara intzar kare...

Precious gift...

Your time is the your precious gift that you can give to you love ones or anyone...

Strongest weapon

In the world where everyone have weapons which can be use to defeat anyone so in my thinking our will power is our strongest weapon against anyone and anything.

don't disturb...

If someone needs privacy then leave him alone...
And don't disturb him again...

Good night everyone...

Dosti kisi k sath bhi ho sakti hai...

Ye jaruri nhi ki dosti bas larke or larke ya bas larki or larki m ho...
Dosti larke or larki m bhi ho sakti hai or ye jaruri nhi hai ki unk bich m kuch bhi ho...
Dosti kisi ke sath bhi ho sakti hai...
Insan or janwar m bhi ho sakti hai...
Jisse ap roj milte hai but nam nhi pata usk sath bhi ek alag dosti hoti hai...
Dosti k liye ye bhi jaruri nhi ki agar apka koi apka dost hai to usk usk bare m apko sab kuch pata hona hi Chahiye...
Dosti k liye ye bhi jaruri nhi hai ki use apki language aati ho...
Dosti ka matlab hai ki jab ap akele ho ya kisi problem m ho ya koi khushi ki bat ho to ap apni feeling usk sath share kar sako bina kisi hesitation ke to wo hi apka dost hai...
Isk liye ye bhi jaruri nhi ki wo apke pas ho...
Ho sakta hai wo sath samandar par ho...
Kuch bhi ho sakta hai...
To dosti kisi k bhi sath ho sakti hai...
Ho sakta hai ki koi dost apka train ki barabar wali seat pe betha ho...

Kya Kabhi socha hai...

Kya apne kabhi socha hai ki is pure universe mai life bas earth pe hi kyu hai...
Or agar life earth pe hi hai to ese conditions hi kyu hai ki ginse life bas earth pe ho...
Life agar earth pe bhi ho to sochne ki  ese takat bs insan k pas hi kyu hai...
Or agar sochne ki takat insan k pas hai to isse insan or kya kya kr sakta hai...
Sochne ki bat hai...
To kya apne kabhi socha hai...

Kya hai Zindagi...

Zindagi wo nhi hai jo tum logo k sath jite ho...
Zindagi wo hai jo tum khud k sath jite ho...
#tej...

Valentine Day special...

sunata hu tumhe ek khani kyu ki tumhe ek bat hai batani…
tum sath ho to sari duniya lagti hai begani…
tum sath hoti ho to sas m sas aati hai…
jab se tum dur gai ho sari dunia bina namak kius sabji ki tarha ho gai hai jisme koi swad nhi hai…
magar hamara sath is technology ne acche se dia hua hai…
ki tum  mujse dur ho k bhi pas ho…
sath hamara kuch salo ka hai magar lagta hai ki jane kis janam ka sath hai…
din hota hai tumse mera rat bhi tumse khatam hoti hai…
ab bas tumse bs itna or kehena hai…

“ Dil mein ho tum
Aankhon mein tum
Pahli nazar se hi yaaraaaa…”

#Tej......

Bate bejuba....

Bade ajeeb hai log gamo ko hasi m chupa jate hai...
Aakhe nam hoti haai...
Fr bhi muskurajate hai...
Dard kitne bhi ho...
Pal m logo k liye unke sath chale jate hai...
Ek bat nirali hoti hai unki bato mai....
Boli mai bol kuch hote hai....
Or bato bato mai kuch or hi kehe jate hai...

Hell Life...

Yu to aksar kitabo pe khud ko likh deta hu...
Baaya krni hoti h jo bat usse anjane sabdo m gooth deta hu...
Jese kise paheli  m bato ko pirodeta hu...
Anjane me ek khali kagaj pe khud ki ek tasveer se bana deta hu...
Bs Isi tarha kuch bat apne sabdo m daba kr unko unke anzaam tak pohochadeta hu...

Alag bat h...

Zindagi ka sabse acche kam...

Kisi k zakhamo pe malham lagana ek bat h...
Magar un takleef bhare lamho m uska sath nibhana alag bat h...

Kis ki khusi m uska sath nibhana ek bat h...
Magar pareshani m bhi uska sath nibhana alag bat h...

Kisi ki 1st aane ki Khusi ko manana ek bat h...
Kisi k last aane pe bhi uske try krne ki  khusi ko manana alag  bat h...

Kisi k chehere pe ek bar smile lana ek bat h...
Or kisi ko Zindagi bhar khus rehena sikhana alag bat h...

Kisi k gamo ko sunna ek bat h...
Un gamo ko bhulaga k use Zindagi zena sikhana alag bat h...

Ye aakhe itni nam kyu h....

Aaksar dil se hamesha bat nikalti h...
Is dharti pe itna gum kyu h...
or ye aakhe itni num kyu h...
Sochne pr majboor hu...
Ki konsi bat h jis se m jan k bhi kuch dour hu...
Din m sab se milta hu...
Pr najane koi h jis se m milne ki chaha m thora sa tarasta hu...
Ye silsila kab tak ka h iski kisi ko ittlaha nhi...
Kisi ko pata chale to batana ki khusiyo se kitna m dour hu...
Fr us duri bhare raste ko mitana bhi h...
Gamo ko aakho aakho se hata k khusiyo ko unpe bithana bhi h...
Koi or mile raste m to use bhi gale lagana bhi h...
Khud ki aakho k sath sath uski aakho se wo pani hatana bhi h...

Khusi...😊

Kabhi tumhe lage ki koi tumhe dekh k has raha h ...
To yar socho ki log tumpe nhi has rahe Tumhare sath has rahe hai...
Kabhi ye mat socho ki log Tumhare bare m kya soch rahe hai...
Soch ki hum khud k bare m kya sochte ho...  

Tum khud se kitna khus h... 

Apne kamse kitna khus ho...

apni life se kitna khus h...

Or soche hum ese kya kar sakte h jo oro k face pe smile le k aae...
Kyuki Zindagi ka kuch pata hi nhi ...
Aj zindagi hai kal ka kuch pata nhi...
Kya pata kal ho na ho...

To khus raho ... Khushi se jio or oro ko jine do...

Kya pata kal ho na ho...

Comment your personal views in my blog comment box... Follow me for more such intresting contents...

Thankyou...

Relationship (Part 2)...

Kabhi kabhi kuch logo saath hote bhi h...
But saath ho kar k bhi sath nhi lagte...
But kabhi kuch log kabhi saath nhi hote h...
Din mahine saal beet jate h bina mile...
But Saath na hote hue bhi saath lagte h...

Relationship...

Chalo ek bat or batata hu...
Koi bhi relationship permanent nhi hoti... Even  andhere m bhi parchai  ka bhi sath choot jata h...
Or koi bhi relationship tym waste nhi hoti...
Har ek relationship se kuch na kuch  sikhne ko jarur milta h...
Or har relationship se ek bat or sikhne ko jarur milti h... Agar  usse wo nhi milta jo tum chate ho to  ek sabak jarur sikha deti h ki tum life m kya nhi chahate ho...

Think about the fitness now...

Agar abhi apni fitness or health k bare m nhi sochoge to bad m tumhe bimariyon k bare m sochna padhe ga...
Or jitna time or pese abhi restaurant or party m kuch bhi kha pi k bita rahe ho to bad m tumhe utha hi time doctor or bed rest m  tablet kha k bitana padhega...

Karm kr fal ki chinta mt kr...

Agar ap dil se kisi ki madat krna chate h to kar digiye rukiye nhi...
Kya pata kabhi apko kabhi kisi ki jarurat ho  to koi madat na kare...
Ye soch kr mt ruckiye ki m use janta bhi nhi usk bare m kuch pata bhi nhi to m uski madat kese karu or kyu karu...
For example:  kabhi kisi ka accident ho jae jo ki m chata hu ki kabhi na ho... But by chance ho jata h to ye soch kr mat ruko ki jante nhi h usk bare m kuch pata nhi h... Ya accident case h... Ki mujhe kahi party M jana h... Mere kapre  kharab ho jaenge ya m late ho jaunga...
Ye socho ki kisi ki zindagi  tumhari wajha se bach sakti h...
Or insaniyat sabse sabse badi chez hoti h...
Us party m bas apko bs khana milega... Wo to ap ghar pe bhi kha sakte h ...
Kapre gande hue to kya hua wo to dhul bhi jaenge ...Or kharab bhi ho gae to market m kami nhi h ....
But kisi ki madat karne se apk dil ko sukun milega...
Ki mene aj ek accha kam kia...
kisi ki madat ki...
" Kabhi bhi kisi ki bhi madat karo...
Usse tumhe kya milega ye mt socho...
Shrimad Bhagwat Geeta m bhi likha h ...
Karm kar fal ki chinta mt kr...
(Do your duty without thinking about results...)"

Thand ka asar...

Kitabo se nata abhi humne tor dia...
Rajai or kambal se nata jodh lia...
Ek masale ki chai ki ek chuski se hamara wo sama tham dia...
Or is bari m pakoro ne hamara din bana dia...

Ooo Yara Dil Hara... (Part 2)

TO READ THE FIRST PART LINK IS GIVEN BELOW...

Ooo Yara Dil Hara...(Part 1)

Now start second part




After 2 days...
Suryash or aarti dono gharwalo ka aashirwad le k college bapas aate h hostel allotment k liye. Dono k hostel aamne samne hi the or bich m ek library  or ek badi si canteen thi. Or pas hi m ek bargat ka bada sa padhe bhi tha jisne aadhi canteen ko cover kia hua tha...
Parthi bhi aati h... But ghar wale use waha padne nhi bejhna chahate the... Lekin wo us aamiri ki undiwaro ko par kar k bahar nikalna chahati thi...
Jaha log rehete sath h...
Khate bhi sath h...
Magar sath ho kar k bhi sath nhi h...
Nakli hasi has has k thk chuki thi wo...
Ghar m bs ek hi tha jisse wo khul k bat kr leti thi... Wo tha uska bhada bhai Aarav.  Jo har wakt usk sath khada reheta tha....
Usk sath wo fr college k liye nikal gai...
College khulne m bs 1 din bacha tha ab aarav ne parthi ka allotment kara k usk sath aas pas ki jagha ghuma ...
Kya kare bhai h bhen koi pareshani na ho is bat ki tasalli to karni hi padhti h...
College khule to aarti ne notice kia wo larki jine usk sath form submit kia tha wo nhi dikh rahi thi...
Suryash apni padhai m magan front seat pe betha teacher ki lecture ko note kare jara tha ... Period change hue... 

To joint classes k bacche bhi change hue...
To achanak ne aarti ko parthi dikhi... Oor usne use apne sath wali seat offer ki...
Parthi bhi waha aa k usk sath beth gai...
Baato baato m pata chala k uska admission CS m nhi hua balki IT m hua h... Dono ki class wese to alag alag hoti thi but mostly classes thi jo sath hoti thi...
Period nikalte gae fr lunch aaya ...

Aarti : bhai canteen chale...
Suryash : tum chali jao m library ja rha hu . Books issue karane...
Aarti: parthi tumhara kya plan h...
Parthi: abhi to kuch khas nhi...
Aarti: to chalo canteen chalte h kuch kha k aate h...
Parthi: ok...
Teeno chaldiye...
Canteen pe...
Parthi :  tum kaha se ho...
Aarti : m muzaffarnagar se hu..
Prati: oookkk... Yaha kaha ruki ho...
Aarti: yahi hostel m hu...A-14 m ruki hu...
Tumne apne bare m kuch nhi bataya...
Or tum kaha ruki ho...
Parthi: m Delhi se hu...
M bhi hostel m hi hu...A-17 m hu...

(Parthi apne bare m chupate hue... ki wo kis pariwar se h  isliye wo jada nhi bol rahi thi.... Wo nhi chahati thi ki uski family k bare m jan k usk  or aarti k beech family wealth difference aae...Isiliye wo apne sath normal cheeze hi laithi or average dikhne ki kosis kr rahi thi...)

Fir Aarti ne poucha...
Aarti: tumhare rumi aage...
Parthi: nhi abhi koi nhi aaya...  Tumhare m koi aaya...
Aarti: ha dono aa gai h... But wo dono dusri branch ki h...
Parthi sant rahi... Or hmm... Bol k chup ho gai...
Aarti: kya m tumhare room m shift ho jau...
Hum dono k mostly subjects same h...
To sath m padh bhi liya ka karenge...
Or assignment wagerah m bhi aasani ho jaya kara karegi...
Parthi: hmm.. thk h tum mere sath shift ho jao...
Fir piche se aawaz aati h...Haee..
Dono ne piche mudh k dekha...
Wo suryash tha...
Aarti: tum to library gae the books issue karane...
Suryash: ha gaya tha but waha bhi lunch time tha to wo band thi...
Aarti: ooo.... Hmm...
Ab kya karoge... Abhi 45 min h...
Suryash: kuch kha leta hu... Lunch k bad 2 class or h...
Aarti: aaarreee m tumhara introduction to karana yo bhul gai...
Parthi meat suryash...
Suryash meat parthi...

Parthi :hi...
Suryash: hi...
Aarti: Parthi  ye h mera cousin brother h suryash ek no. Ka padhaku h ye...
Or Suryash ye h parthi h IT m admission lia h  hamare sath hi form bhara tha isne mere piche hi bethi thi ye... Yad h tumhe...
Suryash : ha hoga... yad nhi mujhe thk se...
(Sakti dekh rahe ho londe ki...Hahaha... Chaliye aage dekhte h kya hota h...)
Piche se kuch senior aate h...
Hey you...

Kese honge ye senior...
Kya karenge ye...


To be continue....

Please comment your personal views in the blog comment box....

time change everything...

insan ek esi kitab h jise samajna muskil h..
wo har tym paristithi k according change hota h..
or apne ap ko change krta h...
jaruri nhi h ki abhi kuch bole or usi pe hamesha tika rahe...
tym k sath use us bat ko bhi change krna padhta h...
tym k sath use paristithi k according change hona hi padhta h...
jese koi rule ho jo tym k according jab uska use nhi hota h or to kuch changes karne padhte h conditions k according ...
wrna wo rule hamesha k liye khata kr diya jata h...

Boring lecture....



Ye story kuch tym pehle ki h ...
Or college bhi khulne wale the so usi pe ye ek funny sa blog...
Jab classes chalti h to students k man m kya kya khayal aate h wo kuch is tarha h ki....


Jab classes ho jae boring or teacher usse bhi jada boring  to neend bhi aati h or aankhe bhi khuli rakhni padhti h..,😴😴😕
To Ye lecture class kisi torture class se kam nhi lagti...
Or bate bhi teacher ki kisi lori se kam nhi lagti...
Jitna inke lecture se hume neend aati h utni hi  us 5 minute k break m hume chai or coffee pini padh jati h or ese hi aage ki class ho pati h...
Ab esa lagta h ki  ye chai or coffee nhi h piyare ye to ek dawai ya fir h ek kadha h jisne aage k lecture k liye hume thoda sa sambhala h...
Ab in teachero ko bhi koi kese samjae inki boring lecture ki sabji m thora hasi majak  ka choka to lagae jada nhi to lecture k bech m thora 2 min break dekar thora sa namak hi  dal jae...😂😂😂

Vaibhav...
Please comment your personal views about the blog in the blog comment box....

Imandari


Jo tumhe galat lag raha h use mt karo...
Kyu ki imandari kisi or se nhi khud se kari jati h...
Or ye har us cheez m honi chahiye jise ap apne dil se krte ho...
Kyuki ye kisi ki mohtaz nhi hoti...
Pese to ap beshak beimani se bhi se kama loge ..
Magar izaat khud k liye apni aankhon m tabhi dekh paoge jab wo pese imandari se kama kr apne ghar leki jaoge...

Zindagi lambi lagne lagegi...

Zindagi ko din mahine saal k sath mat napo...
Zindagi ko jina chahate ho to zindagi ko saaso se napo to zindagi lambi lagne lagegi...

Force mt karo...

Kabhi kisi ko kabhi bhi apne kam k liye force mt karo...
Agar wo sach m apki care karta h To wo khud tym nikal lega ...
Or agar koi kis kisi chez k badle apka kam krta h to use apki care nhi wo bas ek soda h jo wo pura kr raha h...

Ooo Yara Dil Hara...(Part 1)

Ye kahani completely hypothetical h iska meri ya kisi or ki zindagi se koi relation nhi h...
Ye kahani h suryash or parthi ki jo ek IIT college, Bombay  m padhne jate h...
Kahani shuru karne se pehele m apko in dono k bare m kuch bata deta hu...
Jaha ek oor suryash ek middle class family ka ladka h... jo Muzaffarnagar , UP se belong karta h or dusre oor parthi ek high class family se belong karti ladki jo South Delhi ki thi...
Suryash  ek esa larka tha jo padh likh kr  kuch bada krna chata  apne mummy or papa ka nam roshan Karna chata tha IIT m bhi uska selection usk marks or scholarship pe hua tha...
Or dusri oor parthi  jo ek ameer pariwar ki thi or ghar m sabki ladli bhi thi to thora sa attitude bhi tha usme but  bohot hi choti choti si khuwahishe thi uski jo wo bachpan se miss karti  or kabhi puri nhi kar pai just because of her family high class and status isi liye wo delhi se bombay padhne aa gai  jaha use koi nhi janta ho or wo bina kisi rok tok k apne dost khud chunsake or wo kr sake jo wo krna chahati h or kuch jo uski bachpan ki  khwahishe h jo apni dairy m likhi chupa k rakhti thi...
Suryash k sath uski cousin sister bhi usk sath padhne ko aai thi  jis ka nam tha "Aarti" jo ki padhai m thodi si weak thi but suryash use samjhta tha or bachpan se khud padh k use  padhata aa raha tha or usi ki wajha se uska bhi IIT college m usk sath hi admission ho gya tha. suryash or aarti dono cousin k sath bohot acche dost bhi the... dono ek dusre se kabhi koi bat nhi chupate the jab bhi koi problem hoti to dono sath mil k us problem ko aakele ho solve kar liya karte the kisi ko ghar m pata hi nhi chalne dete the...
Ab lotte h kahani pe...
Admission k tym aaya ...
Ye teeno baki logo ki tarha admission hall m apna apna form bhar rahe the ... Achanak parthi k pen kharab hogya or dusra usk pas tha nhi or wo aai bhi akeli thi to kisi ko bahar bej k pen bhi nhi manga sakti thi or wo pareshan ho rahi thi or apne bag m bar bar pen dhund rahi thi to achanak se aarti ki najar parthi pe padi  wo usi k pichhe hi thi to aarti ne apne bag m se ek pen nikal k parthi  offer krti h or  parthi use thanks bol k ...
teeno  apna form jaldi jaldi bharte hai ...
Fr ye teeno ek sath form submit krte h or fr end m  admission hall k bahar parthi ne aarti ko pen ko return kia or hath mila k thanks bola... Usi tym suryash bhi waha tha Aarti ko bola...
Aarti- meet my cousin suryash...
Suryash - parthi
Fr suryash unk taraf dekha or halke se apni gardan hila k 'hello' bola...
Suryash k dimag m ek tension thi ki use konsi Branch m admission milega...
Wo chahata tha ki koi acchi se branch miljae or fr wo dil laga k mehenat kare or aage badhe...
Thori der bad parthi ne Suryash ko dekh k parthi ne socha...
"Dikhne m to ye kafi handsome h... Height bhi 5'9"-5'10 hogi but ye itna pareshan  kyu h... Mujhe dekh k delhi m meri purani class k sare   larke  mere pichhe hi padhe rehete the or ye bina hase, hath milae bs sar hila k 'hello' bol dia...And  No more reaction... "
"Ye to wo hi bat ho gai ki... ye kon h jisne pooo ko mudh k nhi dekha...."
But parthi ko kya pata tha ki suryash k dimag m kya uthal puthal chal rahi h...
Fr suryash wahi admission hall k bahar idhar se udhar chakar katta raha... Or bar bar andar admission list k bare m andar poochta raha...
Fr thori der baad notice board pe dekh k suryash bohot khus ho gya  wo jo chahata tha wo  ho gya use wo hi branch mili  jo wo chahta tha 'computer science'
Or bad m pata chala ki aarti ka bhi usi ki class m admission hua h to wo dono double khus ho gae...
But tab tak parthi waha se chali gai thi... 
Fr dono fr bapas apne ghar ko nikal gae...
Kyu ki fr 5 din bad se hi unki classes shuru hone wali thi...
To wo bapas aane k liye apne saman ki packing  karne k liye apne ghar ko nikal gae...


After 2 days...

To be continue........
Please comment your personal views in the blog comment box....
Thankyou...

The sun will rise again...

Second part of kyu roo rahe ho tum...
Kehe h ki subha k bhula agar ghar bapas aa jae to use bhula nhi kehete...
To  kya wo fir se ghar se nikalna band kr de...
Agar m galat nhi hu to ap soch rahe honge ki m kehena kya chata hu ...
M kehena ye chata hu ki agar kisi se koi galti ho jae  or up to the mark nhi pohoc pae to kya use har manleni chahiye...
Mere khayal se nhi kyu ki insaan galtiyo ka putla h...
Galti kar kar k hi sikhta h...
Fir chahe wo uski aadate ho ya koi invention...
Thomas Alva Edison ko bhi bulb ko bhi ki invention  m bhi 1000 bar nakamiyabi mili but unhone har nhi mani... Unhone 1001 bar fir try ki or finally unhe wo mila jisse puri duniya m unka nam hua...Or aj usi k karan hum log rat m bhi apne kam kr pate h...
To isse mujhe ek bat sikhne ko mili...
Ki insaan ko chahe kuch ho jae kabhi har nhi manni chaiye chahe koi kuch bhi kahe...
Kyu ki duniya ka sabse bada rog h...
"Kya kahenge log..."
Aaarreee Kyu in logo k bare m sochte ho logo ka kam h kehena...
Or is rog k sath  mt jio ...
Agar koi koi galti ho jati h to usse kuch sikho...
Or try karte raho...
Try krna mt chodo...
Kyu ki tum Kabhi na kabhi tum apni manjile ko pa hi loge...
Or is spirit k sath jio ki...
"The sun will rise again and I will try again"

Kyu roo rahe ho tum....

Aj ki special conditions pe aj ka ye special condition blog ....
To aj kuch esa hua mere sath jo nhi hona chaiye tha..
Mtlb kuch bura hua jo nhi hona nhi chaiye tha...
To  esi conditions pe me ya ap kuch kr sakte h ...
Is tym mere pas ya apk pas 2 conditions h...
Condition 1
Nhi...
Jb us problem ka koi solution hi nhi to us problem ko soch soch k kyu pareshan hona...
Condition 2
If Yes..
Agar kuch kar sakte ho to us problem ka solution nikalo....
Or jab us problem ka solution h tumhare ps to fr is problem k bare m soch soch k kyu pareshan hona...
Fr to koi problem hi nhi hui...
"Problem tb tak problem hoti h jb tk uska koi solution na ho... Or jab solution h to wo problem nhi hoti... 
Pareshan hone se kisi problem ka solution nhi milega or na wo problem apna ko hone se rok sakti h...
Wo problem bas apki life se kuch acche pal rok rahi h bs...
To kisi bat ko soch k kyu rona...
Kyu ki jo hona h so hona h fir kis bat ka rona h..."

Sacche Dil Se Mang Ke To Dekho...

Kehete h....
"Agar sacche dil se kuch mango to puri kaenath use tum se milane m lag jati h..."
Magar esa bhi hota h...???
Shyd ha magar kisi chez ko pane k liye kuch mehenat karni padhti ...
Kyu ki har chez bethe bithaye nhi milti h...
Or kismat bhi usi ka sath deti h jise use sacche dil se chaaha ho...
Agar  kaenath or kismat k bharose bethe rahe to shyd wo apko kabhi na mil pae or mile bhi to pata nhi kb jb uski apko jarurat hi na ho...
Kyu ki usko pane k liye dil me to sacche dil se dua to ki magar koi mehnat nhi ki to kismat shyd apka sath na de...
Mera ye manna h ki agar ki chez ko pana chaahate ho to sacche dil se use pane ki mehenat karo fr kismat k bharose chordo...
Fr tumhari kismat m wo hoga to mil hi jaega... Or agar nhi bhi mila fr bhi mehenat karna mt chodo...
Shyd tumhari kismat m usse kuch or accha likha ho...
"To sacche dil se kuch chaaho to  usko pane ke liye pehele pure dil se mehenat karo ... Kyu ki kaenath or kismat bhi usi ka sath deti h jise use pane ki sacchi kosis ki ho... "
Vaibhav...

Accha lagta h...

Uske bin chup chup rehna accha lagta h..
khamoshi se ek dard ko sehna accha lagta h..
jis apne ki yaad me aansu baraste h..
samne uske kuch na kehna accha lagta h..
milkar usse bichad na jaye darte rehte h..
isliye bas dur hi rehna accha lagta h..
jee chahe sari khushiya lakar usko de du..
uske pyaar me sab kuch khona accha lagta h..
uska milna na milna kismat ki baat h..
pal pal uski yaad me rona accha lagta h..
uske bina sari duniya begani lagti h ...
pr usko door se hi khus dekhna accha lagta h...
Vaibhav...

Family (Pariwar)...

Family(pariwar) ek esa sabd jo sab kuch sama leta h...
Jivan jine ka sahi salika sikhane wala sabd h pariwar....
Isme choto k liye pyar h...
Mayya ka khana na khane h bad pyar bhari Gussa h...
Bado ka Aadar samman h...
Bhai bheno k sath hone wali full time masti h...
Choto k liye bado ka tyag h...
Pariwar m koi aakela nhi hota Yaha har koi ek dusre ka sathi hota h...
Koi choti si pareshani ho kisi ko to pura pariwar ek mutthi ban k us pareshani ko khatam karta h...
Choti si khusi ko bhi nach ga kr manane wala hota h pariwar...
Khane ki table pe santi se nhi hasi khusi k sath kane wala sabd h pariwar...
Khud khane se pehele choto ko apne hatho se khilana k matlab h pariwar...
Tyoharon pe ek sath ekhahatte hokar us tyoharo ko hasi khusi se nachte gaate ek dusre ko gale lagekar  per chukar kar  manane ka mtlb h pariwar...
Koi ho agar aakela khel ya jang k medan m uski jeet k liye uski raksha k liye dua karne wala hota h pariwar...
"Isiliye pariwar ek sabd nhi h...Ye us bargat k us pedh ki tarha h jo dour dour  tak fela hua h... Or use kat pana mushkil  hi nhi na mumkin h... Or jo iski chaya m aa jae to use bhi ye apna bana leta h..."
Vaibhav...

Ghar ka khana...

Ghar ka khana  chahe kesa bhi ho wo accha hota h ...
Fika ho ya mitha ho ya tikha ho...
Usme ek apne pyar ki feeling hoti h...
Bahar ka khana chahe tasty hota h...
But usme ye feeling nhi aa pati...
To khane ko swad le k khaiye  pyar k sath...
Kyu ki ....
" Pyar se khilaya ek dana jo bhookh mita sakta h wo dikhawe or ghamand  k chhappan bhog bhi pure nhi kar sakte..."
Vaibhav...

Yaad karke to dekho...

Yaad karenge to din se raat ho jayegi,
aaine mein dekhiye khud ko hamase baat ho jayegi,
shikava na kariye hamase milane ka ,
aankhe band kariye to jara humse mulakat ho jaayegi ....

Gussa

Kabhi lafjo se to kabhi aakho se gujarta h...
Jane kyu kabhi kisi or gussa kahi or nikalta h...
Koi pareshani m hota h kabhi koi apna to uski chinta m ...
To choti choti bato m  nikalta h gussa...
Fr us gusse m na chahe ho  jati h kuch galtiya ...
Fr us galtiyo ko sudharna aasan nhi hota...
Isliye galti ko sudarne kosis krta hu...
Isliye jada kuch nhi keheta bs chup rehe kar sab bato ko apne andar daba leta hu...
Vaibhav...

ek kitab sa tha m...

Friend 1: yaar aj kal log kitne ajeeb ho gae hai kisi ko kuch samajte hi nhi ... Friend 2 : kyu ab kya ho gya tere sath... Friend 1: kya bat...