Wakt (Part 1)
Meditate For Good Dreams...
Present...
Happiness...
Light and shadow...
Yad aata hai wo engine....
Soul's are just memories...
Intzaar...
Words always matter...
.
dusri pangti ka matlab hai ki kavi aksar 8+ ghante sota hai...😴😴😴
vaibhav
Wakt ka takada...
100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE...
Hum Indians kuch sune ya na sune but ye line hamesha sunte hai...
"100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE..."
Pata nhi kya hai is line m...
is line ko India ka title track bana dena chahiya... sach m...
aksar hum indian ye line jarur sunte hai chahe ek choti si galti hui ho ya bohot badha blunder hua ho...
but ye line hi kyu... chahe school m teacher bole ya ghar wale ya koi or...
+
wo school teacher jo ye bolte hai ki 100 bar bhi pouchoge to bhi bataunga or 2 bar batane m bhi ye dialogue chipka dete hai...
usi tarha ghar wale ye dialogue chipka dete hai...
kuch ese log bhi ye dialogue chipkadete hai jo actually m bhi 100 bar mil k 100 bar bat bhi nhi hui ho fr bhi "100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE" bol hi dete hai...
ab kya ek insan ek jesi galti 100 bar kr sakta hai... sochne wali bat hai...
or kya wo galti bhi ho ya na ho ya wo us insan ka prospective ho mtlb nazariya ho ki wo ek galti ho...
kyu ki ek galti 100 bar repeat nhi ho sakti...
agar galti hai to wo kam usse kara hi kyu rahe ho jab pata hai ki galti hogi...
or agar chahate ho galti na ho to ek bar sahi se samjho pyar se...
wo logo se hota nhi...
wo humse hoga nhi akhir hum indian hai sunae bina khana pachega nhi...
to 100 BAR SAMJHA CHUKA HU ISE bolne ka koi faeda nhi...
agar bolna hai to ek bar sahi se samjha k bolo...
warna 100 bar chupchap raho...
ya us Kam ko khud kalo...
.
.
.
.
.
.
wese ye 100 se jada or kam bhi ho sakte hai...
signing off
vaibhav
New Corona Dialogue...
Tor denge tumhare sharir ka
kona kona par hone nhi denge tumhe Corona...
Ye purana ho gya...
Ab kuch naya...
Mhu pe rakhlo mask warna ruk
jaegi tumhari saas...
Agar hath per rakhne hai sahi
to tumhara ghar pe rehena hi sahi...
Warna aaoge aata lene or jaoge suzi leke...
Hath dhote raho bar bar warna
hath dho bethoge zindagi se ek bar...
Hath dhote raho shan se warna
hath dho bethoge zindagi se aaram se...
Agar "GO CORONA GO"
bolne se Corona chala jata to aj har koi tata birla ya ambani ho jata...
Corona chota hai abhi vote dene
nhi ja paega par agar tum bahar gae to wo tumhare ghar jarur aa jaega or fir wo
utpat machaega...
if you have some more
suggestions then please let me know...
signing off
vaibhav
HUMAN BOOK CAFE...
Human book cafe...
Nam se hi samaj aa jata hai ki jese har ek kitab m kahani hai wese hi har ek insan m ek kahani hai... that's true har ek insan ek kahani hai bs use padhna padhta hai jo log aksar nhi padhpate... sabhi k face yani cehere pe sab likha hota hai bs use padhna padhta hai... wo log aksar apne andar alag alag tarha ki feelings le k ghumgte hai jisme mostly depression ki feeling hoti hai...ab depression bhi logo k pas alag alag tarha k hote hai jese koi peso ki wahja se depressed hai... koi padhai ki wajha se depressed hai... to koi family problem ki wajha se depressed hai... koi pyar na milne ki wajha see depressed hai... to koi peer pressure ki wajha se depressed hai... to koi job ki wajha se depressed hai... to koi akele pan ki wajha se... list bohot lambi hai khatam hi hogi... but kya ye thk hai ki kisi wajha se ap pani life ko bs us bat ko sochne m bita do jisse ap pareshan ho...
Sochne ki bat hai kya esa ho sakta hai ki wo parshani hamesha k liye hai... agar hai bhi to usme ap kuch kr sakte hai agar haa to kya wo problem hai jis chez ka solution hai to wo problem kesi or solution nhi hai to sochiye ki kya wo sach m problem hai ya apki soch ne use problem banaya hua hai,...
Just think over it...
Depression m mene logo ko khud m pareshan hote dekha hai... or jab bhi unse poucha ki kya bat hai to pehela unka jabab hota tha kuch nhi sab thk hai... thori der bad fr wohi pouchta kuch bolte kuch nhi or kuch bolte ye problem hai and during this discussion un logo ko mene aksar thora pehele se shant hote hue dekha hai... and it literally works. mana ki hum unki problem ko nhi mesaure kr sakte ki wo problem kitni badhi hai unk liye... but kya pata unki problem ka solution nikalde jisse hume bhi problem na ho or unki bhi problem solve ho jae...
Kyu ki depression ka koi tablet ilaz nhii hai... bs ek chota sa discussion with someone chahe wo koi known ho ya unknown ho ya bus m sath chal raha passenger ho just a small discussion can change someone life...
Coffee or Tea hi kyu....
Kyu ki in human behavior aksar esa dekha gya hai ki agar ap kisi ko koi garam taral padardh( warm liquid like coffee or tea) dete hai over a disciussion pite time wo apki bato pe jada focus krta hai jisse samne wale ko bhi accha lagta hai ki koi uski bat pe focus kr raha hai...
So just take a cup of tea/coffee over a discussion to listen to A HUMAN BOOK...
signing off
vaibhav...
ye pagal ho gaya hai...
Happy Poet Day...
Wo bachpan hi sahi tha.....
jab khud k sapno m kabhi superman to kabhi spiderman hua kate the...
Hasna aata hai mujhe...
Hasna aata hai mujhe...
Mujse gam ki mujse bat nhi hoti...
Meri bato m mazak hota hai...
Magar meri har bat mazak nhi hoti....
Orrr...
Jo bat mujse kehni hai sidhe se kehedo...
Kyuki ghuma k mujse bat nhi hoti...
#vaibhav...
Present is a Gift
Larke rote nhi...
Golam gol hai...
zubaan ka chakar...
Pandemic Rakhi...
Chulbuli zindagi...
Ek chota sa suggestion...
yu hi yad nhi aati...
yad kab aaegi...
yad kab aaegi...
you can learn anything...
Zindagi ka kissa...
Shabd pe shabd bhadata chala...
Shabd pe shabd bhadata chala...
M Zindagi ka har kissa kagazo m likhkar dabata chala...
Aligarh Muslim University Tarana (Anthem)
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu...
Sarshaar-e-nigaah-e-nargis hu , paabasta-e-gesoo-e Sumbul hu...
Ye mera chaman, ye mera chaman,
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hu !
Jo taaq-e-haram mein roshan hai woh shama yahan bhi jalti hai,
Iss dasht ke goshey goshey se ik jooy-e-hayat ubalti hai...
Ye dasht-e-junu deewano ka, ye bazm-e-wafaa parwano ki...
Ye shehr-e-tarab roomano ka, ye khuld-e-baree armaano ki...
Fitrat ne sikhayee hai humko uftaad yaha parwaaz yaha...
Gaaye hai wafaa ke geet yaha , chheda hai junu ka saaz yaha...
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu !
Iss bazm mein teghei khi chi hain, is bazm mein saa ar todey hai...
Iss bazm mein aankh bichhaayee hai, iss bazm mein dil tak jodey hai...
Har sham hai shaam-e-Misr yaha , har shab hai shab-e Shiraz yaha...
Hai saarey jaha ka soz yaha aur saarey jaha ka saaz yaha...
Zarraat ka bosa lene ko sau baar jhuka aakaash yaha...
Khud aa kh se hamne dekhi hai baatil ki shikast-e-faash yaha...
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hu !
Jo abr yaha se utthega, wo sarey jaha par barsega...
Har jooy-e-rawaa par barsega, har koh-e-garaa par barsega...
Har sarw-o-saman par barsega, har dasht-o-daman par barsega...
Khud apne chaman par barsega, gairo ke chaman par barsega...
Har shahr-e-tarab par garjega, har qasr-e-tarab par kadkega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega...
Barsega, barsega, barsega!
Do wakt ki roti ki kimat...
Do wakt ki roti k khatir kya se kya kr bethta hai insan apno ka sath chor bethta hai so wakt ki roti k liye....
Bato k bol...
Kabhi kagaz pe utar dia...
Kabhi mala m saza dia...
Sabd bhi moti ki mala hai...
Kisi ne gale me saza dia...
Kisi ne aag m jala dia...
#tej
Ek lifafa...
Aksar kagaz ko tasveer bana deta hu..
Aksar kagaz ko tasveer bana deta hu.....
Dil m aate hai jo khuwab unhe kagaz pe utar deta hu...
Mez pe rakha hai lifafa tere nam ka...
Mez pe rakha hai lifafa tere nam ka...
Najane in khuwabo ko likhne m ek umr si lag gai...
#tej
Kabhi socha hai fr...
Kabhi socha hai...
Chori usi chez ki kyu hoti hai jo samne ho for ex in museum.. chahe use kitni bhi safety m rakha ho tab bhi wo chez chori ho jati hai...
For ex film- dhoom
To jab logo k samne aaega ya unhe usk bare m pata hoga to saman chori hone k chances 50-50 se badh jate hi hai...
To agar kuch bachana hai to kisi k samne aane hi mt do...
Or Kisi ko batao hi mat...
Simple...
Naya kal...
Hum roz kal k bare m sochte hai ki kal kesa hoga...
Kya hoga ki nhi hoga...
Kal ye hoga kal wo hoga...
Kal ye karenge kal wo karenge...
But kal kisne dekha hai...
Kal kya hoga kise pata hai...
Jo hona hai wo hoke rahega...
Koi us aane wale kal ko aane se nhi rok sakta...
Or jo kal hoga use koi nhi badal sakta...
To us kal k bare m soch k kya faeda jo kal hona hai...
Agar use rok sakte ho ya badal sakte ho to bhi kis bat ki tension hai...
Jo kal aana hai uske bare m soch soch k apne aj ko kyi kharab krna kal jo hoga use kal dekhna usk bare m soch soch k apne aj ko kyu kharab krna...
To kal k bare m sochna choro or apne aj ko apne tarike se jio...
Jese tum jina hai wese jio koi roke bhi to kya hua aj roka but kal to tumhara hai...
👍
#tej
Wakt wakt ki baate...
Kam wo mt karo ki tumhe kisi or k liye khadha hona padhe kam wo karo ki log tumhara khadhe hokar tumhara intzar kare...
Precious gift...
Your time is the your precious gift that you can give to you love ones or anyone...
Strongest weapon
In the world where everyone have weapons which can be use to defeat anyone so in my thinking our will power is our strongest weapon against anyone and anything.
don't disturb...
If someone needs privacy then leave him alone...
And don't disturb him again...
Good night everyone...
Dosti kisi k sath bhi ho sakti hai...
Ye jaruri nhi ki dosti bas larke or larke ya bas larki or larki m ho...
Dosti larke or larki m bhi ho sakti hai or ye jaruri nhi hai ki unk bich m kuch bhi ho...
Dosti kisi ke sath bhi ho sakti hai...
Insan or janwar m bhi ho sakti hai...
Jisse ap roj milte hai but nam nhi pata usk sath bhi ek alag dosti hoti hai...
Dosti k liye ye bhi jaruri nhi ki agar apka koi apka dost hai to usk usk bare m apko sab kuch pata hona hi Chahiye...
Dosti k liye ye bhi jaruri nhi hai ki use apki language aati ho...
Dosti ka matlab hai ki jab ap akele ho ya kisi problem m ho ya koi khushi ki bat ho to ap apni feeling usk sath share kar sako bina kisi hesitation ke to wo hi apka dost hai...
Isk liye ye bhi jaruri nhi ki wo apke pas ho...
Ho sakta hai wo sath samandar par ho...
Kuch bhi ho sakta hai...
To dosti kisi k bhi sath ho sakti hai...
Ho sakta hai ki koi dost apka train ki barabar wali seat pe betha ho...
Kya Kabhi socha hai...
Kya apne kabhi socha hai ki is pure universe mai life bas earth pe hi kyu hai...
Or agar life earth pe hi hai to ese conditions hi kyu hai ki ginse life bas earth pe ho...
Life agar earth pe bhi ho to sochne ki ese takat bs insan k pas hi kyu hai...
Or agar sochne ki takat insan k pas hai to isse insan or kya kya kr sakta hai...
Sochne ki bat hai...
To kya apne kabhi socha hai...
Kya hai Zindagi...
Zindagi wo nhi hai jo tum logo k sath jite ho...
Zindagi wo hai jo tum khud k sath jite ho...
#tej...
Valentine Day special...
sunata hu tumhe ek khani kyu ki tumhe ek bat hai batani…
tum sath ho to sari duniya lagti hai begani…
tum sath hoti ho to sas m sas aati hai…
jab se tum dur gai ho sari dunia bina namak kius sabji ki tarha ho gai hai jisme koi swad nhi hai…
magar hamara sath is technology ne acche se dia hua hai…
ki tum mujse dur ho k bhi pas ho…
sath hamara kuch salo ka hai magar lagta hai ki jane kis janam ka sath hai…
din hota hai tumse mera rat bhi tumse khatam hoti hai…
ab bas tumse bs itna or kehena hai…
“ Dil mein ho tum
Aankhon mein tum
Pahli nazar se hi yaaraaaa…”
#Tej......
Bate bejuba....
Bade ajeeb hai log gamo ko hasi m chupa jate hai...
Aakhe nam hoti haai...
Fr bhi muskurajate hai...
Dard kitne bhi ho...
Pal m logo k liye unke sath chale jate hai...
Ek bat nirali hoti hai unki bato mai....
Boli mai bol kuch hote hai....
Or bato bato mai kuch or hi kehe jate hai...
Hell Life...
Yu to aksar kitabo pe khud ko likh deta hu...
Baaya krni hoti h jo bat usse anjane sabdo m gooth deta hu...
Jese kise paheli m bato ko pirodeta hu...
Anjane me ek khali kagaj pe khud ki ek tasveer se bana deta hu...
Bs Isi tarha kuch bat apne sabdo m daba kr unko unke anzaam tak pohochadeta hu...
Alag bat h...
Zindagi ka sabse acche kam...
Kisi k zakhamo pe malham lagana ek bat h...
Magar un takleef bhare lamho m uska sath nibhana alag bat h...
Kis ki khusi m uska sath nibhana ek bat h...
Magar pareshani m bhi uska sath nibhana alag bat h...
Kisi ki 1st aane ki Khusi ko manana ek bat h...
Kisi k last aane pe bhi uske try krne ki khusi ko manana alag bat h...
Kisi k chehere pe ek bar smile lana ek bat h...
Or kisi ko Zindagi bhar khus rehena sikhana alag bat h...
Kisi k gamo ko sunna ek bat h...
Un gamo ko bhulaga k use Zindagi zena sikhana alag bat h...
Ye aakhe itni nam kyu h....
Aaksar dil se hamesha bat nikalti h...
Is dharti pe itna gum kyu h...
or ye aakhe itni num kyu h...
Sochne pr majboor hu...
Ki konsi bat h jis se m jan k bhi kuch dour hu...
Din m sab se milta hu...
Pr najane koi h jis se m milne ki chaha m thora sa tarasta hu...
Ye silsila kab tak ka h iski kisi ko ittlaha nhi...
Kisi ko pata chale to batana ki khusiyo se kitna m dour hu...
Fr us duri bhare raste ko mitana bhi h...
Gamo ko aakho aakho se hata k khusiyo ko unpe bithana bhi h...
Koi or mile raste m to use bhi gale lagana bhi h...
Khud ki aakho k sath sath uski aakho se wo pani hatana bhi h...
Khusi...😊
Kabhi tumhe lage ki koi tumhe dekh k has raha h ...
To yar socho ki log tumpe nhi has rahe Tumhare sath has rahe hai...
Kabhi ye mat socho ki log Tumhare bare m kya soch rahe hai...
Soch ki hum khud k bare m kya sochte ho...
Tum khud se kitna khus h...
Apne kamse kitna khus ho...
apni life se kitna khus h...
Or soche hum ese kya kar sakte h jo oro k face pe smile le k aae...
Kyuki Zindagi ka kuch pata hi nhi ...
Aj zindagi hai kal ka kuch pata nhi...
Kya pata kal ho na ho...
To khus raho ... Khushi se jio or oro ko jine do...
Kya pata kal ho na ho...
Comment your personal views in my blog comment box... Follow me for more such intresting contents...
Thankyou...
ek kitab sa tha m...
Friend 1: yaar aj kal log kitne ajeeb ho gae hai kisi ko kuch samajte hi nhi ... Friend 2 : kyu ab kya ho gya tere sath... Friend 1: kya bat...
-
Har koi ye to batata hai zindagi ek kitab hai but koi ye nhi batata ki us kitab k panne pe likha kya hai.... Usk panne rangeen hai ya black ...
-
Bachpan se hum larke ek bat sunte hai... Ki larke ho tum, or larke rote nhi... To is bat pe m bhi kuch kehna chahata hu... Mana ki hum l...